"Lipstick" lyrics

"Lipstick"

O Baaki Chhori
Chalna Sambhaal Ke
Nainon Mein Tere
Kajray Ki Dhaar Re

Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le
Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le

O Baaki Chhori
Chalna Sambhaal Ke
Zaalim Zamaana
Phekay Ga Jaal Re

Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le
Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le

Tere Deewaanon Ki Tu 'Madhubala' Hai
Tu Hi Tho Raaton Mein Din Ka Ujaala Hai
Mukhaday Pe Aise Tu Ghoongat Na Daal Re
Kasam Se Laakhon Ki Jaayegi Jaan Re

Mudh Mudh Ke Aise
Na Dekho Yaar Ve
Bharay Bazaar Mein Na
Ho Katal-e-Aam Re
Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le
Lipstick Lagaa Ke Nazar Uthaar Le

Makhan Malaai Jaisa
Roop Rang Tera
Jiske Liyay Laga Hai
Deewanon Ka Mela

Meethi Jalebee Jalebee Si Baatein Teri
Meethi Jalebee Jalebee Si Baatein Teri

Mudh Mudh Ke Aise
Karna Shikaar Ve
Nazron Ki Goli
Lagti Hai Thaa Se

Lipstick Laga Ke Nazar Uthaar Le
Lipstick Laga Ke Nazar Uthaar Le