"Inaam" lyrics

"Inaam"

Malum hai na hum jaane tumko tumse zyada
Tumko mila hai woh saalon se jo bhi hai manga
Kaise khilono ki ro ro ke karte the mangein
Ik bar mil jaye do din mein hi bhul jaate

Lekin khilono ke dil toh hote hi nahin the
Dil toh humara hai jaane galat kya sahi yeh
Kitna the chahte par ab tumko yaad na aatey hum

Kya yaad tumko tum humko inaam the kehte
Karte the kitna kuch panay ki chah mein pehlay
Ab yeh inaam ka tum pe ilzaam hai jaana
Dil hai gawah jeete jabse ho tumko hai hara

Cheezein badalti hain itna toh humne bhi mana
Itna badal jaogay jaana kisne tha jaana
Jo tha parvana ab usko humari parwah na kyun

Dil mein baat kya hai
Haan bolo humse
Chahta aur kya hai
Haan bolo humse
Kya kami yahan hai
Haan bolo humse na
Jo kaha mila hai
Haan bolo humse
Badle mein bhala hai
Haan bolo humse
Manga tumse kya hai
Hai manga zara sa hi, kya hi
Kya haye

Bas jo khat likhe the tumne
Unhe padh bhi lo zara
Waade kiye the jo bhi
Nibhao na aise kabhi
In waadon ki siyahi
Abhi sukhi hi kahan
Hai tumhari hi likhai
Yaa bhule ho ye bhi

Kehne ko wah wah tum phir se inaam ho jeete
Chehre par muskan par ankhein hain khush na kahin se
Humne kaha tha hum janey tumko tumse zyada
Shayad galat the par itna toh humne hai jana

Har woh inaam qadar ke bina hi hai waise
Ghar mein padi dhul khate khilono ke jaise
Pal bhar behlayein par dil ko yeh khush na kar payein yoon

Ghar bethe likhta tha dil ki kahani meri
Charon taraf thi deewarein deewaron se hi
Kehta tha ik din jahaan hoga haathon mein hi aa aa
Jo tha gumnamo mein ab woh inaamon pe bhi
Qaidi hai, qaid hi hai phir bhi dewaron mein hi
Namumkin khwabon mein na khush udanein meri aa aa


Writer(s): Anuv Jain
You May Also Like
Kailasa - "Piya Ghar Aavenge" चोक पुराओ, माटी रंगाओ आज मेरे पिया घर आवेंगे आज मेरे पिया घर आवेंगे चोक पुराओ, माटी रंगाओ आज मेरे पिया घर आवेंगे आज मेरे पिया घर आवेंगे ख़बर सुनाऊँ जो, ख़ुशी रे बताऊँ जो आज मेरे पिया घर आवेंगे आज...
Karan Aujla & Ikky - "Softly" Gal sun lallaria ve Ah lok mere te hasde Paise jyada dedugi Matching krdega ta dsde Sunla ve dito same chahidi Ah le photo ve Ferrari laal di Chunni meri rangde lallaria Ve chunni meri rangde...
Shubh - "One Love" Gutt te paranda tera karda kamaal ni Billiyan billauri akhan kardi sawaal Turre madak madak ni tu hirni di chaal ni Gallan di laali ne te kitte bure haal Billo gutt te paranda tera karda kamaal ni...
King - "Laapata" Humne kiye aise sawal Jinka mila na jawab unse Toot gaya mera jahaan Jisko dhaage se banaya bunke Ajnabi huye wo jo kabhi the apne Aye na fir kabhi mudke vo hum rishte kya hi rakhte Na-dani,...
Darshan Raval - "Mujhe Peene Do" Raat aayi hai raat aane do Nasha hota hai nasha hone do Dil jalta hai dil jalne do Yaad aayi hai mujhe peene do Raat aati hai raat aane do Nasha hota hai nasha hone do Dil jalta hai dil jalne do...