"Sab Ka Shajra Pakistan" lyrics

"Sab Ka Shajra Pakistan"

Assalam alaykum
Bhaiyon aur behnon
Pakistan haasil karne ke liye
Hum ne bohot qurbani di hai
Tamaam millat, himmat aur sabr ke saath kaam karti rahi
To hamari yeh museebatein, In Sha Allah, bohot jald khatam ho jayen gi
Pakistan Zindabaad!

Mere janaan, watanon qurban
Mere sohne, dilbar hai jaan
Mere mehboob, kash-e-subhaan Pakistan, Pakistan
Hain karte pyaar hum jis se, humein jis se mohabbat hai
Agar puchay jahaan hum se, humein kis se mohabbat hai?
Sabhi ke khoon mein shaamil hai yun qatra qatra Pakistan

Sabhi se puch lo chahe hai sab ka shajra Pakistan
Yeh saare dil ke hain tagrray tabhi hai tagrra Pakistan
Mere mehboob mein sadqe, kash-e-subhaan Pakistan
Sabhi ke lafz hain apne, hai ek zubaan Pakistan
Mere janaan Pakistan, watanon qurban Pakistan
Mere sohne Pakistan, dilbar hai janaan Pakistan

Alif se aage bay se barhna, bay se barhna hai
Ain ilm pe, ain amal bhi pura karna hai
Seen se sab hum watanon ka, seen sahara Pakistan
Pay se pyara bhi hota hai, pyar se pyara Pakistan
Pyaar se pyara Pakistan, pyaar se pyara Pakistan

Sabhi ka rukh ek jaanib hai, sabhi ka eik sajda hai
Main saaya hoon parcham ka, parcham pe saaya Rabb ka hai
Libaas apna koi pehne to har seene pe sajta hai
Tera parcham hi tamgha hai, jo har seene par lagta hai
Paroye hain dil dil kar ke, banaya gajra Pakistan

Sabhi se puch lo chahe hai sab ka shajra Pakistan
Yeh saare dil ke hain tagrray tabhi hai tagrra Pakistan
Mere mehboob mein sadqe, kash-e-subhaan Pakistan
Sabhi ke lafz hain apne, hai ek zubaan Pakistan
Mere janaan pakistan, watanon qurban Pakistan
Mere sohne Pakistan, dilbar hai jaan pakistan

Main pakistan ka nojawan hoon
Main aaj hoon aur mustaqbil ka Pakistan hoon
Banaon apne jazbe se watan aur apni mein pehchan
Main Pakistan ki taaqat hoon, main teri taaqat Pakistan

Muhaafiz hain hum sab tere, sabhi armaan de denge
Agar tu maange ga yeh dil to hum yeh jaan de denge
Koi taaqat nahi duniya ki tujh ko chot pohnchaye
Tere dushman pachtayen ge, tere dushman sab pachtaye
Hamari aankhon ki hai shaan, lagaya kajra Pakistan

Sabhi se puch lo chahe hai sab ka shajra Pakistan
Yeh saare dil ke hain tagrray tabhi hai tagrra Pakistan
Mere mehboob mein sadqe, kash-e-subhaan Pakistan
Sabhi ke lafz hain apne, hai ek zubaan Pakistan
Mere janaan pakistan, watanon qurban Pakistan
Mere sohne Pakistan, dilbar hai jaan pakistan

I love you, pakistan