"Aaja Mahi" lyrics

"Aaja Mahi"

Kho jaunga main tum mein
Tum bhi kho jao na
Bas jaunga main
Tum mein meray hojao na

Dekho na aa ke jaana
Kat'ti na raaten jaana
Maana ke mushkil hai par
Bhoolo na waaday jaana
Dil ko samjha ke jaana
Sab kuch na milta jaana
Najanay ham kyun bichrhay
Hum mein toh pyar bhi tha na

Marta hun marta hun main aajaa
Yaad tujhay karta hun main aajaa
Tootay hue dil ka main teray
Chhota sa tukda hun main aajaa
Dil ki baatein hi nahi suni
Ab waadon pay yaqeen nahi
Hamein tu nahi mila kabhi
Hamein sirf tasalli di gayi
Hum se khushiyaan chheen li gayi
Hamein bas udaasi di gayi
Tera intazaar hai sadaa par
Teray aanay ki umeed hi nahi bachi
Aao na dekho tum dobara
Teri yaaden hi bani hain jeenay ka sahara
Tanha baitha aahain bharta hun main
Tu nhi hai paas to ab khud se ladta hun main

Darta hun main darta hun main na ja
Pyar tujhay karta hun main karta hun main na ja
Khud ko bhi kho dunga main agar
Tujhko bhi kho dunga main na ja
Ek hi bar to gaye the tum
Ek hi bar mar gaye the hum
Ek hi bar mein sab chhin gya
Khushiyan door galay lagay gham
Ek hi bar ajao na ab
Ek hi bar dekho na ab tum meri taraf
Ek hi bar mein le jao sab
Toota dil uski yaadein or uski tadap
Gham tum nay dekha kahan hai
Khushiyon sa tera jahan hai
Ham nay dekha ye jahan hai
Par dekha na tum sa jaana

Dekho na aa ke jaana
Kat'ti na raaten jaana
Maana ke mushkil hai par
Bhoolo na waaday jaana
Dil ko samjha ke jaana
Sab kuch na milta jaana
Najanay ham kyun bichrhay
Hum mein toh pyar bhi tha na

Aaja poori karen
Wo daastaan doori bharen
Wo raasta jo jaata tujhko mananay
Kaisay tum jaa rahay
Ham ro rahay ya gaa rahay
Ye baatein teray siwa koi kya janay


Writer(s): Raffey Anwar
You May Also Like
Emiway Bantai - "ELEVATE" Kiye kuchh waade the jisse, nibhaya nahi Par galtiyon se seekha phir dohraya nahi Jab jarurat thi inki mujhe, koi aaya nahi Buri aadaton pe waqt karna zaya nahi Khada hai yaar tera, kisse bhulaya...
Vaibhav Kundra & Taimour Baig - "Paagal" Tu husna da badal Kitta ghayal Pagal menu kardi Teri payal Tu husna da badal Kitta ghayal Pagal menu kardi Teri payal Per gulabi Nain. Sharabi Kudi ae tu kill Na koi kharabi Pi laan tenu Peg...
Karan Aujla & Ikky - "For A Reason" Tere toh meri na, nazar lehndi Tere toh meri na, nazar lehndi Hattha te tere na'an di, la'n - la'n mehndi Hattha te tere na'an, la'n - la'n mehndi Puchda main tera kyon kara? Puthe vaike kare mainu...
Umair - "COME THROUGH" Mennu samjha Na tu mennu azmaa Jadon da mein phareya rizla Na fiqar na koi parwa Soneya! Thaam haath hoon khara Tere naal ay naseeb jura Aaja na, dil laaja na Aaja na Mein aya tha Lahore Teri yaad...
Darshan Raval - "Hawa Banke" Main zameen tu aasmaan Main daag hoon tu chand sa Tu baarish hai main ret hoon Main dhun koi tu raag sa Main zameen tu aasmaan Main daag hoon tu chand sa Tu baarish hai main ret hoon Main dhun koi...