"Kahan" lyrics

"Kahan"

Aankhein hain jo ye teri, palkon ki chhaanv mein thahri
Dooba hi jaaoon in mein, doobta jaaoon jheel si gahri
Rang bhar chuka main us mein, dil mein tasveer hai teri
Gaalon ko choom ke guzrein, zulfon ki kya baat hai teri

Main bas chaahta hoon tujhko paana, mil jaana
Dil thak chuka hai, tujhko dhoondoon main kahaan?

Haan, hai kahaan, dil ne tujhko pukaara
La-makaan hua main be-sahaara
Yaad bhi karte nahiin tum humko
Aaj bhi dil ne tujhko pukaara
(Dil ne tujhko pukaara)

Tu nahiin hai
Veeraan dil ki gali hai
Tanha khada hoon wahiin pe
Ye aankhein raah tak rahi hain

Aa jaa, intiha ho gai hai
Aa jaa, imtihaan ki ghadi hai
Dil ka raasta to wahi hai
Aa jaa, tu hi to laazimi hai

Toote dil se dil lagaate kaise?
Udaasi dil mein thi to lab ye muskuraate kaise?
Toote dil ki jo makaan, phir banaate kaise?
Dekha hi nahiin tujhe to dhoond paate kaise?

Hai kahaan, dil ne tujhko pukaara
La-makaan hua main be-sahaara
Yaad bhi karte nahiin tum humko
Aaj bhi dil ne tujhko pukaara

Dil ne tujhko pukaara, hua main be-sahaara
Aa jaata baaton mein teri mera ye dil bechaara

Main hoon, dil hai, raatein hain, tanhaaiyaan aur raat aur din
Ab raat aur din ke sahaare to zindagi hai na-mumkin
Ab dhalta sooraj dekha to shukar kiya ki guzra din
Afsurdagi bhi laazimi, ye din bhi guzra tere bin

Par be-wajah uljha rahe kyun dil sada?
Aa wahiin, khwaabon mein hi duniya bana

Haan, hai kahaan, dil ne tujhko pukaara
La-makaan hua main be-sahaara
Yaad bhi karte nahiin tum humko
Aaj bhi dil ne tujhko pukaara


Writer(s): Ahad Khan, Raffey Anwar, Usama Ali
You May Also Like
Anuv Jain - "Gul" Na dastakein Yeh tere dil ki, haan, wahi dhadkane hai Yoon zor se jo tujhko abh sun rahin hai Sun le zara yeh tujhse kya keh rahin hai Aaye nahi, jinke the vaade Waqt uljha hua hai tere yahan pe Kya...
King - "Laapata" Humne kiye aise sawal Jinka mila na jawab unse Toot gaya mera jahaan Jisko dhaage se banaya bunke Ajnabi huye wo jo kabhi the apne Aye na fir kabhi mudke vo hum rishte kya hi rakhte Na-dani,...
Umair - "COME THROUGH" Mennu samjha Na tu mennu azmaa Jadon da mein phareya rizla Na fiqar na koi parwa Soneya! Thaam haath hoon khara Tere naal ay naseeb jura Aaja na, dil laaja na Aaja na Mein aya tha Lahore Teri yaad...
Vaibhav Kundra & Taimour Baig - "Paagal" Tu husna da badal Kitta ghayal Pagal menu kardi Teri payal Tu husna da badal Kitta ghayal Pagal menu kardi Teri payal Per gulabi Nain. Sharabi Kudi ae tu kill Na koi kharabi Pi laan tenu Peg...
Darshan Raval - "Asal Mein" Kyun Khuda ne di laqeerein Jisme zaahir naam nahi tera Likh raha hoon dard saare Yun toh shayar naam nahi mera Itna bhi kya bewafa koi hota hai Yeh soch kar raat bhar dil ye rota hai Asal mein, tum...