"Shikayat" lyrics

"Shikayat"

Zakhm dil pe hain, dawa karo
Aao mil ke rasm-e-mohabbat ada karo
Kuch na kar sako mere liye
To bus khwaab mein hi mujhse mil liya karo

Aa milo kahin mujhse
Ki ummeedein kuch baaqi hain meri tumse
Na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
Ki shaayad ye din aakhiri ho, ham khvaahish mein mar jaayein
Aa milo kahin mujhse
Ki ummeedein kuch baaqi hain meri tumse

Le chalo wahaan mujhe
Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara toot ke gaya
Maangin bhi duaayein, par haan, tu nahin mila

Wo aaya hi nahin jo ik dafa gaya
Wo door itna ho gaya, main dekh na saka
Hai dhoondta vajah ab dil ye be-vajah
Hai toota is tarah se dil ki phir nahin laga

To aa milo kahin, o mere ham-nashin
Main ab bhi hoon akela, ye tu samjha kyuun nahin
Vujuud-e-dil-lagi ki aarzu nahin
Mohabbat to wahi hai jo ki milti hi nahin

Mohabbaton mein jhoom loon, main kya karoon, bata
Main mubtala hoon gham mein ya main gham ki hoon dawa?
Main bad-dua hoon ya dua hoon, ya main hoon saza?
Ab tu bata ki main hoon ya phir tu hai laapata, tu bata

Laapata ho gaye hamaare liye tum
Itna chaaha ki tum be-wafa ho gaye
Jaanaan, bhoolna tha tumhein, Khuda ki qasam
Haath jab bhi uthe tum dua ho gaye

Honton pe dua hai, waqt tham nahin raha
Tu na mil saka, tu bas nazm mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
Tera gham ajeeb hai, wo wahin ka wahin raha

Bhoolna main chaah raha tha tujhko is tarah
Na teri jagah koi ho, na ho tu wahaan
Ab teri talaash mein pata chala mujhe
Tumse hi shuru hain raatein, tumse hi subah

Tu mil gai to ja milegi zindagi mujhe
Jo tu nahin to chaahiye kuch nahin mujhe
Khwaab tu hai, saans tu hi, raat tu subah
Kaat doonga zindagi main dekhke tujhe

Dekhle mujhe
Ye kat rahi hai zindagi ab dekhke tujhe
Toot hi gaya hoon, tu samet le mujhe
Samet le mujhe, kahin bikhar na jaaoon main

To aao na, mere aansu ko ponchho aur phir se rulaao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
To aao na, dil ki baatein karo aur phir se sataao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye

Mil jaaoon main tumhein agar raaston mein kahin
Tum rasman hi pooch lena mujhse haal mera
Main muskura kar, gham chhupa kar hi jawaab doonga
Main yahi karta aaya hoon, ye hai kamaal mera


Writer(s): Muhammad Anwar
You May Also Like
Anuv Jain - "Husn" Haan, haan Dekho, dekho, kaisi baatein yahan ki Hain saath par, hain saath naa bhi Kya itni aasaan hai? Dekho, dekho, jaise mere iraade Waise kahaan tere yahan the Haan, kitni naadan main Mere...
Tony Kakkar - "Koi Apna Hoga" Tere Girne Ke Peeche Koi Tera Apna Hoga Ye Jaankar Bhi Rishta Tujhko Rakhna Hoga Tere Girne Ke Peeche Koi Tera Apna Hoga Ye Jaankar Bhi Rishta Tujhko Rakhna Hoga Ye Chehre Pe Chehra Laga Lete Hain...
Karan Aujla - "WAVY" Pichhe dekh ke kataar Naddi karke pyaar kehndi Hun neend nahi aundi Pachtaundi tu laa ke yaari Jatta de munde naal phire roundi ni Ni gaddiyaan track te Munde toliyaan bana ke ni sandh back te Ni...
Talha Anjum & Umair - "love lost" Mujh ko de basakhi mere saaqi Mere qadam larkhara rahay hain Baaqi baatein rahein baaqi Ab uth ke ghar ko jarahay hain Maaf ho meri ghustaakhi Moo pher kar chhupa rahay hain Teri chandni mujh tak...
AFUSIC - "Ek Baar" Nashay main tum, nashay nashay main ham Sabhi hay purple 7 rang Hain teri yadon k saharay Main kush hun dekh le bharam Jo tum nahi to sab khatam Ham tanha dil ko yun mana rhe To kya hay ye majra...