"Chhu Kar Mere Manko" lyrics

"Chhu Kar Mere Manko"
(from "Yaarana" soundtrack)

Chhookar mere man ko kiya toone kya ishaara

Badla ye mausam, lage pyara jag saara

Tu jo kahe jeevan bhar tere liye mein gaoon
Tere liye mein gaoon
Geet tere bolon pe likhta chala jaoon
Likhta chala jaoon
Mere geeton mein tujhe dhoonde jag saara

Chhookar mere man ko kiya toone kya ishaara
Badla ye mausam, lage pyara jag saara
Chhookar mere man ko kiya toone kya ishaara

Aaja tera aanchal ye pyaar se main bhar doon
Pyaar se main bhar doon
Khushiyaan jahan bhar ki tujhko nazar kar doon
Tujhko nazar kar doon
Tu hi mera jeevan tu hi jeene ka sahaara