"Finding Her (Female Version)" lyrics
Tanishka Bahl, Kushagra, Bharath & Saaheal Lyrics
"Finding Her (Female Version)"
Jaana tu aata nahi
Sapnon se jaata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kaamil ho jaati wahin
Haan, main tere sawaalon ka manzar hun
Jo tu maange jawaabon mein rehti hun
Main bhi sochun wo pal saare mil jaayein
Teri hoke na teri hi rehti hun
Main bhi chaahun yahin pe tu ruk jaana
Kitna chaaha tha mujhko ye keh jaana
Teri mujhse ye doori main hone nahi deti
Har lamha main khud se ye kehti hun
Tu aata nahi
Sapnon se jaata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kaamil ho jaati wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kaamil ho jaati wahin
Sambhal ke rakha wo phool mera tu
Meri shayri mein zaroor raha tu
Jo aankhon mein pyaari si duniya basaai
Wo duniya bhi tha tu wo lamha bhi tha tu
Haan, lagte hain mujhko wo kisse sataane
Deta na dil mera tujhko bhulaane
Adhoore se waade adhoori si raatein
Ab hisse mein daakhil mere bas wo yaadein
Rehna tha ban ke hamdam tera
Aise jaana hi tha fir tu kyoon thehra
Ab na maane mera dil kyoon na tere kaabil
Thi ik aarzoo ki main kehti rahi par
Tu aata nahi
Sapnon se jaata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kaamil ho jaati wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye kya hi baat thi
Kaamil ho jaati wahin
- AZLyrics
- K
- Kushagra Lyrics
You May Also Like
Gajendra Verma, Ravator & Swapnil Tare - "Waade" O beliya ve
Sath mera ku chrd gya hai
Kyu ye pal
Naa guzare
Kyu ye dil
Tum par hi ruke
Kyu ye pal
Naa guzare
Kyu ye Mann
Tum bin na lage
Kashti kinaaron pe thehre nahi
Aadhey adhoorey doobey kahi...
Tony Kakkar - "Koi Apna Hoga" Tere Girne Ke Peeche Koi Tera Apna Hoga
Ye Jaankar Bhi Rishta Tujhko Rakhna Hoga
Tere Girne Ke Peeche Koi Tera Apna Hoga
Ye Jaankar Bhi Rishta Tujhko Rakhna Hoga
Ye Chehre Pe Chehra Laga Lete Hain...
Atif Aslam - "Meri Kahani" Jhula jhulaiy yai panghat nadiya kinaray
Yai angan nindiya tu ana
Hawa kay sang mujhko bhi tu dekhana
Apnay rang suno meray dil janiya
Kahani mani ek din mairay sang yai jahan
Tan maira kuch aur tera...
Anuv Jain - "Meri Baaton Mein Tu" Aaja, meri jaan-e-jaan, tere bina huin main kya bhala?
Yaara, ab aa bhi jaa, aaja na
Meri in baahon mei teri hi toh hai jagah
Jaana, ab maan ja, aaja na
Zara sa tu muskura, houle-houle nazdeek aa...
Shilpa Rao - "Barbaad Reprise - Female" Haa-aa
Haa-aa-aa
Aa-aa-aa, aa-aa-aa-aa-aa
Ho, oh
Teri in baarishon mein behti hi jaun main
Jab tu hai paas mere, khud ko rok na paaun main
Tu jo ye kar raha hai, sehna dushwaar hai
Dil ne to haan...