"Main Kho Gaya" lyrics

Kushagra & Showkidd Lyrics

"Main Kho Gaya"

Noor tune jo bikhera adaon ka
Main na samjha, par koi ishara tha
Halka-halka behta jhonka hawaon ka
Mehka-mehka sa samaan

Aasmaan ka woh taara
Pheeka saara tere saamne hai maana maine, jaana
Rafta-rafta zara sa ho itr hawa mein ghula

Shaamon si hai woh khili, honthon pe surkhi badi
Aankhon mein jaadugari, main kho gaya
Khilte phoolon si hansi, zulfein thi bikhri padi
Dekha usko do ghadi, main kho gaya

Ruk si hi gayi hai
Tham gayi hai zindagi ki dor tujh pe aake
Dil mein bas gayi hai
Teri hansi hai aasmaan mein chaand-taare jaise

Chhod ke main meri mannatein
Main teri bol toh bolne se pehle poori kar doon
Raaste saja doon aaj main
Rakhe jo tu qadam tere jahaan wahaan

Aankhein teri samundar
Doobna main chahoon, mujhko koi na bachane aana
Phans gaya dil bechara, khwaab yeh pirone laga

Aankhon ko ho na yaqeen, itna kaise tu haseen?
Dekhi jaise ho pari, main kho gaya
Khilte phoolon si hansi, zulfein thi bikhri padi
Dekha usko do ghadi, main kho gaya


You May Also Like
Anuv Jain - "Baarishein" Haule se, dheeme se Mujhko baahon mein bhar lo na tum Narm si sanson mai Mujhko aahon mai bhar lo na tum Sun zara, mere paas aa Ab baithe hain hum bhi yahan Dil ke darmiyaan Baarishein hain,...
Darshan Raval - "Asal Mein" Kyun Khuda ne di laqeerein Jisme zaahir naam nahi tera Likh raha hoon dard saare Yun toh shayar naam nahi mera Itna bhi kya bewafa koi hota hai Yeh soch kar raat bhar dil ye rota hai Asal mein, tum...
Atif Aslam - "Meri Kahani" Jhula jhulaiy ye panghat nadiya kinare Ye angan nindiya tu ana Hawa ke sang mujhko bhi tu dikhana Apne rang suno mere dil janiya Kahani mani ek din mere sang ye jahan tha Tan mera kuch aur tera bhi...
Taimour Baig & AUR - "Long Time No See" Sapna tha tu mera, main tujhko hasil karun Lagta na bin tere dil, ab iska kya karun Beetega har sama, bas teri hi yaad mein Tu meri justjoo, tu meri aarzoo Jaane kahan kho sa gaya tu? Lauta na aisa...
King - "Tu Jaana Na Piya" Tere aake yun jaane se, baichain hai fizaa meri Ho, har nazar, har khabar pe rahti nigaah meri Ho, tujhe kaise ye bataayein, hamne kya-kya dekha Kaise logon se rishte the, kaise the mere karam Ham...