"Humnava" lyrics

"Humnava"

Yeh raat hai aisi jisme tu mera hai
Khwabon ki baaraat hai boondon ka sehra hai
Tu aaya aankhon se hothon pe thehra hai
Yeh mausam baarish ka kuch keh raha hai

Badi bekarari dil mein thi mere
Tum aa hi gaye ho mere bulaane se
Yeh aankhein nasheeli tum aise na dekho
Hum paagal ho jayenge tere jaane se

O humnava, o humnava
Main peeta nahi tu hothon se pila
O humnava, o humnava
Chhod di hai sharab hothon se pila

Tu kitni haseen hai tujhe yeh kaise bataun
Pooche koi pata chand ka toh tere ghar le aaun
Tu kitni haseen hai tujhe yeh kaise bataun
Pooche koi pata chand ka toh tere ghar le aaun

Tum pe shuru, tum pe khatam
Mohabbat ki har shayari
Khuda ne banaya jab tumko tab
Taareef khud ki kari

Yeh hai mera naseeb mere saath hai tu
Tu sachi koi jaadu hai karamat hai tu
Jo bigdi thi barson se bani baat hai tu
Tu dil hai tu dhadkan hai jaan-e-hayat hai tu

Badi bekarari dil mein thi mere
Tum aa hi gaye ho mere bulaane se
Yeh aankhein nasheeli tum aise na dekho
Hum paagal ho jayenge tere jaane se

O humnava, o humnava
Main peeta nahi tu hothon se pila
O humnava, o humnava
Chhod di hai sharab hothon se pila

Tu kitni haseen hai tujhe yeh kaise bataun
Pooche koi pata chand ka toh tere ghar le aaun
Tu kitni haseen hai tujhe yeh kaise bataun
Pooche koi pata chand ka toh tere ghar le aaun


You May Also Like
Darshan Raval - "Do Din" Tumse miley do din huve Phir kyun lagey na dil Ab se merey bas mein nahi Teri suney ye dil Tumse miley do din huve Phir kyun lagey na dil Ab se merey bas mein nahi Teri suney ye dil Main jitni baar...
Kushagra - "Dard" (Showkidd) दर्द हुआ, दर्द हुआ, दिल को थोड़ा दर्द हुआ मर्ज़ हुआ, मर्ज़ हुआ, मेरे लिए तू मर्ज़ हुआ वो सारी रातें, वो मुलाक़ातें याद आ रही हैं वो मोहब्बतों की बातें क़र्ज़ हुआ, क़र्ज़ हुआ, तुझ पे मेरा क़र्ज़...
Badshah - "Paagal" Teri mummy ki jai Kya cheez banai Doodh pe jaise aayi ho malaai Chitti chitti bang bang Chitti kalaaiy teri aag laga de jaisi diyasalai Main international yeah par gaana mere loco Tu hai sexy baaki...
Jass Manak - "Dil Todne Se Pehle" Na maut tumhe aayegi na jee paaoge Na bhookh tumhe lagegi na pee paaoge Na maut tumhe aayegi na jee paaoge Na bhookh tumhe lagegi na pee paaoge Ro vi taan hona ni So vi taan hona ni Ro nai hona so...
King - "Maan Meri Jaan" Main teri aankho mein udaasi kabhi dekh sakda nai Tujhe khush main rakhunga soneya Main tere hotho pe khamoshi kabhi dekh sakda nai Sari baatein main sununga soneya Tere dil se na, kabhi khelunga...