"Aana Nahi" lyrics
"Aana Nahi"
(feat. Hashim Nawaz, Talhah Yunus, Abdullah Maharvi & Uzair Mirza)
Haathon may haath le
Aakay tu haal dekh
Betha madhosh mein
Aakay sahara de
Aaja shaam ke nazaaray lein
Roothi raat ko aaja hum taanay dein
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
I guess yahan shuru hoga verse
Samjho ehsaan agar tujh pe likhun lafz
Agar laga tujhe aashiq mizaaj mein
Tou phir kalaa meri haavi rahay gi is mizaaj pe
Mein hoon shaq karne waalon may naa
Akela dar jaanay waalon may naa
Kirdaar mera mujhe iski ijazat nahi deta
Jaana, dil tornay waalay hotay waaday karne waalon may naa
Pasand karte kya haqeeqat pasand log
Agar tujhe shikayat tou phir mujhe badal do
Lekin parh kabhi mere qadam ko
Jaan ke jo maanga, samajh kabhi sitam woh
Khabardaar, mein hoon khatarnaak, chhori
Naa jaanun wazan kya hai mere qalam ka, chhori
Tu ne qismat marorri jab thi asal baat morri
Jana tou tha naa mein ne, jaanay deti thora slowly
Mein hoon karta mulaqaat kisi se bhi naa
Phir bhi jaa ke tujh se mila tha soch
Mein woh fard, rakhta farq hai jo, baat yehi such hai bus
Baaqi saari ki theen mein ne gol
Mein kya itna bura tha?
Kya mein naa tujh se thora sa bhi juda tha? Bol
Bani rahi woh pak daaman aggay mere
Hun o samajhdi mein shuru ton he chayedi si hore, huh
Bitch, I got a fanbase, mujhe kurriyon ki thor nahi, apne aap ko tu khaas samajh
Agar mein naa karun baat tou phir nafrat mujhe baaton se hai, tujh se nahi
Meri yeh tu baat samajh
Par tu tou shuru se thi naa-samajh
Aur samjhota karne wala mein
Tujhe zaroorat thi meri, nahi thi mujhe teri
Mera maqsad tou bus khud ko khud se milana hai
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Haazir jawaab, yeh sawaal bhi behaal baray
Bistar pe mere tootay bikhray paray baal baray
Ghum bhi awaara, khud ko dete hain sahara
Mein ne uthaya yeh qalam tou phir bheegein ge rumaal baray
Woh leti imtehaan baray
Dilon may liye huay makaan baray
Yeh fikar bhi ab tujhe lagay shaq
Diya waqt, diya sab, phir bhi tere mezbaan baray
Hum nigehbaan tere
Khushiyon ko baant'te rahay
Ghalti se seekhe, kyun hum khud he khud ko daant'te rahay?
Shayari gumnaam rahay
Muu pe woh anjaan banay, kaise yeh jahaan milay?
Anjanay may naye naam milay, chhoro ke hum kahan milay
Duniya ke liye chaand banay, mehfilon ki jaan banay
Deewaron ke kaan kharay, kehti woh insaan banein
Dilon ki zabaan banein
Khud se yeh sawaal karein, kya tere ehsaan baray?
Afsanay yeh rehte hain dil may, iss mozoo pe likhta nahi hoon
Chahte ke hum bhi ghum baantein, afsurda par itna nahi hoon
Khoon se rangay yeh khaakay, shayad mein bikhra wahin hoon
Yeh baatein hon uper se naazil, Rabb jaanay mein kitna sahi hoon
Dekhi meri saadigi, woh jaanay meri aadatein
Urdu lagay yeh calligraphy, keh lo mujhe Sadequain
Shayad inn amaalon pe hon bhaari yeh ibaadatein
Jung yeh apne aap se, iss lahu may shahadatein
Dil bhoolay tere sheher may
Yaad aani meri thehar ke
Umeed ke tum khair se
Asar nahi ab iss zeher may
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
- AZLyrics
- U
- Umair Lyrics
You May Also Like
Farasat Anees, Talha Anjum & Jokhay - "Mutasir" Yeah yeah yeah yeah
Its your boy
Mutasir rappers mujhe mutasir
Aur aaj phir mein socho yahi aj phir
Apni zindagi pe daalu thori roshni
Thousand thoughts dimaagh mein karein mosh pit
People smokin'...
Jass Manak - "Viah" Snappy
Ho jih di ankh vich surme di dhari hougi
Simple Punjabi jehdi saari hougi
Fashiona nu rakhe jo para kar ke
Munde di ta usse naal yaari hougi
Ho main vi rakhu gaddi kaali
Wich jachu baithi...
AP Dhillon & Gurinder Gill - "Excuses" Mere dil naal larre ni tuu laun waaliye
Dil tera jadonn tuttuga taa pata lagunga
Dil naal larre ni tuu laun waaliye
Dil tera jadonn tutunga taan
Tutte dil nu sambhi phirde
Ki fayda mutiyaare ni
12...
Karan Aujla & Ikky - "Softly" Gal sun lallaria ve
Ah lok mere te hasde
Paise jyada dedugi
Matching krdega ta dsde
Sunla ve dito same chahidi
Ah le photo ve Ferrari laal di
Chunni meri rangde lallaria
Ve chunni meri rangde...
Yo Yo Honey Singh - "Angreji Beat" Mundeyan nu chardi thaari thaari thaari ohdi heat te
Marjani paundi bhangra
Angrezi beat te - Ohde silky silky waal, nasal di gori aa
Oh 6 footi muteyaar, ganne di porri aa
Khafa rata ni hundi, kise...