"Nothing Like U" lyrics

JANI, Umair & Abdullah Maharvi Lyrics

"Nothing Like U"

Dil ki yeh baatein hum kaise kahein?
Teri yaadon may jaltay rahein (Rahein, rahein)
Odhay naal he tu reh
Apna naa tu keh
Kalleya rehne de
Odhay naal he tu reh
Mere naal naa dard seh (Ooh)

Aansu yeh behte gaye
Maikhanay may jaam khultay rahay
Marta raha, tum sotay rahay, han
Tere bin jayein kahan? Dil lagayein kahan?
Mein khud se khafa hoon, mein khud se juda

Khuda se baatein hon, unwaan tum ho
Hosh kho bethay har ghoont may, woh jaam tum ho
Kis qadar be-hiss, yaad tak naa rahay naam tum ko
Maan liya, bhool se kaha tha jaan tum ko
Jaan thay tum, jaan nisaar thay tum
Ek umeed thay tum, woh mera maan thay tum
Agar apne thay, yoon bura he naa maantay tum
Aisay roothay ke ab kahin naa pehchantay tum
Apni kotahiyon ko qismaton ka naam naa do
Woh jaam laa do, mein ghoont loon tou anjaam kya ho?
Woh darein khonay se mujhe, par hum kalaam naa hon
Hum banay he thay tootnay ko, yoon heraan naa ho
Kho jaaye saans meri, mil jaye khabar tumhein
Aajaye chain mujhe, par jaye sabar tumhein
Qeher laazim tha, shayad iss liye jabar may thay
Dil-e-umeed torra, yeh saaray shikway qadar ke thay

Aansu yeh behte gaye
Maikhanay may jaam khultay rahay
Marta raha, tum sotay rahay, han
Tere bin jayein kahan? Dil lagayein kahan?
Mein khud se khafa hoon, mein khud se juda


You May Also Like
aleemrk - "Makafat-E-Amal" Raat ke sare 4 ana sar pe sawar Overtake karde koi to phir shuru hojati kahr Ghar pe maa bhi bemaar callein arahi lagatar Ghar pe jaldi aaja beta subah jana hai humai bahar Bs 5 minute 10 minute tal...
Darshan Raval - "Hawa Banke" Main zameen tu aasmaan Main daag hoon tu chand sa Tu baarish hai main ret hoon Main dhun koi tu raag sa Main zameen tu aasmaan Main daag hoon tu chand sa Tu baarish hai main ret hoon Main dhun koi...
Young Stunners (Talha Anjum & Talhah Yunus) - "Talk To Me" Talk to me Kehde wo dil ki batein jo tu zamane se tou keh na saki Sunun baith ke ab mein teri Talk to me Bata dard-e-dil ke sabab Ye parde hata de tu ab Dha de ek aur gazab Dil mein tufaan utha aur...
Taimour Baig - "Humsafar" Kuch baatien mere dil mai Wait a second unhe suno abhi jao nahi Meri zindagi mai waisay hi itne maslay Meri zindagi mai aur maslay lao nahi Tu mai aur aik chup chai hum dono high hume weed deden...
AP Dhillon - "Summer High" Ik sadde milan diya khabra Pyaar ch bhijan diya sadra Eh hunn mainu jeen na dindiyan Eh hunn mainu jeen na dindiya Oh Badal Karde Mahol Kharap Tussi na labde kitte janab Tik ke baith kite nahi...