"Qasam | Coke Studio Nu.WAV" lyrics

Shae Gill, AFUSIC & Abdullah Kasumbi Lyrics

"Qasam | Coke Studio Nu.WAV"

Teray sir ki qasam, teray chehray pe gham humein bilkul jachta nahi
Har pal darti rahun, teri tasbeeh karun, kyun tu dil mein basta nahi
Kya tu sunta hai, Rabb? Mera toota sabr, kya tu dega sila nahi?
Aur teri hi aankhon mein doob ke khaaye zakhm, ta-umr woh bharta nahi
Teray bin kuch na jaanun
Tujh se main kya gham baantun
Teray ishaaron par hi
Titli ka naach main naachun

Aa ke naacha tu, taar-taar karke meray dil ko yun jalana
Zaar-zaar roti hoon main, aisay dil dukhana
Taar-taar karke meray dil ko yun jalana
Zaar-zaar roti hoon main, aisay dil dukhana

Chot aisay phir dil pe lagi na
Par na chaahun main tujh bin kahin na
Dil ko jorun ga taankon se kab tak?
Aisa socha tha main ne kabhi na
Hum ko hi keh ke bura, khud hi karti sitam
Ja, mujh ko parwaah nahi, main ne tujh ko [?]
Meray log na gaye, dikhay mera chehra nahi
Kya mujh se rooth gayi qismat ye sanam, milay koi raasta nahi
Dil mera toot gaya, tu rooth ke gayi, mujhe koi shikwa nahi

Par jaana, taar-taar karke meray dil ko yun jalana
Zaar-zaar rota hoon main, aisay dil dukhana
Taar-taar karke meray dil ko yun jalana
Zaar-zaar rota hoon main, aisay dil dukhana

Chal de, na kar der maahi, meray raahi chal de
Hai waqt abhi baaqi, meray raahi chal de
Na kar der maahi, meray raahi chal de
Hai waqt abhi baaqi, meray raahi chal de


You May Also Like
AP Dhillon, Shinda Kahlon, Gurinder Gill & Gminxr - "Insane" Eh Munde Pagal Ne Saare Gallan Waddiyan Wadde Laare Umar Di Hauli Addiye Tu Ni Bach Ke Reh Eh Munde Pagal Ne Saare Gallan Waddiyan Wadde Laare Umar Di Hauli Addiye Tu Ni Bach Ke Reh Enna Ne Jhalli...
Karan Aujla & Ikky - "Admirin' You" Man like Ikky! Kade milke betho Gal kariye pyar di Vaaj kaali kaali raat mardi Dekho taareyan di lo Hath ta fado Kade ni chhad'da yaar ni Tere to deva jaan vaar ni Tusi hukam karo Kade milke...
Atif Aslam & Momina Mustehsan - "Sajan Das Na" Ae jo mashoori ae Sajan majboori ae Is layye tere taun, hoyi thodi doori ae Sajan majboori ae Sajan majboori ae Qasam meri tere bin, baat adhoori ae Dil kardaa kaghaz bhar da Apna ae haal main likh...
Anuv Jain - "Antariksh" Karta main baatein meri aaine se dekhun teri Tujhse kaise, khul ke vaise bolun main ye raaz dil ke? Ab tere saamne huin, kitna kuch main kehna chahun Mujhko yeh bata de phir kyu khojun main alfaaz...
Arjun Kanungo - "Barsaat" Aao na yun hi milne Kaise hain poocho na humse Ankhein tumko dhundhein har din, har din, har din… Baithey hain kabse hum gumsum Pyaar ke vo saare mausam Tere sang jeene they woh pal, woh pal, woh...