"Antariksh" lyrics

"Antariksh"

Karta main baatein meri aaine se dekhun teri
Tujhse kaise, khul ke vaise bolun main ye raaz dil ke?
Ab tere saamne huin, kitna kuch main kehna chahun
Mujhko yeh bata de phir kyu khojun main alfaaz milke?
Dekho, ye aaina, aaye na tu kyu yaha?
Aaine mei saath mere teri hi toh hai jagah
Uljha huin alfaazon mei hi, nikle na aawazon mein ki
Paas mere, paas mei aaja, aaja na

Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa

Tere sitaaron mei yaan ik taara hazaron mei kya?
Mere inn sawalon ka main dhoondhun yun jawaab aise
Lakhon, hazaaron mein kya? Maamuli kirdaaron mei yaan
Aaun inn khyaalon mei main banke kuch nayaab aise
Tu hi hai aasmaan, mere dil ko aazma
Aasmaani taaron mei main dhoondhun yun apni jagah
Mere bhi khayalon mei tu, duniya ke kinaaron se yun
Paas mere, paas mei aaja, aaja na

Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa

Sun toh
Ek din yeh dil mera hoga benaqab, haan
Aur phir tujhe nazar aayega ki
Antariksh ki tarah yeh hai behisaab sa
Aur sab tera yeh ho jayega hi

Dil ke afsaane mere keh na paaya saalon se main
Sochun yeh khazaane mere baantun saare aaj tujhse
Bante bahane mere, taalu kyu najaane kal pe?
Huin jo ab main pass tere baitha huin naraaz khud se
Band hai taalon mei, taalu saari baatein yeh
Taalu saare baatein kya main tere intezaar mei?
Rehta huin ummeedon mei kya? Tu hi mujhko keh degi aa
Paas mere, paas mei aaja, aaja na

Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa

Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa
Aa re aa, aa re aa


Writer(s): Anuv Jain
You May Also Like
Tony Kakkar - "Zindagi Bata De" Zindagi Bata de kyon tu khafa hai Sansein hi toh le raha hoon Ye bhi kya gunaah hai Zindagi Bata de kyon tu khafa hai Sansein hi toh le raha hoon Ye bhi kya gunaah hai Mere apne bhi apne nahi hain...
Darshan Raval - "Kaash Aisa Hota" Mmm hmm... Ho ho... Ye lamha bhi guzar jaayega Ye dard seene mein hi dab jayega Ye baatein adhoori reh jaayegi Tum aur main adhoore reh jayenge Kaash aisa bhi hota Tum mere hote Main tumhara hota...
King & Harjas Harjaayi - "Shaamein" Tu jaane naa jaane Mene teri baatein ki hain Tujhko pata bhi nahi hae Khraab yeh raatein ki hae Jitne bhi ghamm the tumhare Meri yaad bhulaa deti hae Haste hasaate mujhko Phir kyun rulaa deti hae...
Atif Aslam - "Jeena Jeena" Dehleez pe mere dil ki Jo rakhe hain tune kadam Tere naam pe meri zindagi Likh di mere humdum Haan seekha maine jeena jeena kaise jeena Haan seekha maine jeena mere humdum Na seekha kabhi jeena...
Arijit Singh - "Laal Ishq" Ye laal ishq, ye malaal ishq Ye aib ishq, ye bair ishq Ye laal ishq, ye malaal ishq Ye aib ishq, ye bair ishq Ishq-ishq, ishq-ishq Tujh sang bair lagaya aisa Tujh sang bair lagaya aisa Raha na main...