"Sang-e-Mah" lyrics

"Sang-e-Mah"
(from " Sang-e-Mah" soundtrack)

Ishq hai, junoon hai
Ya woh bekhudi ka dhamaal hai
Tujhe kya khabar hai
O bekhabar, gham-e-zindagi tu kamaal hai
O bekhabar, gham-e-zindagi tu kamaal hai

Woh jo khud ko bhi mila nahin
Tujhe kya milega
Woh hai bekhabar, woh hai gumshuda
Tujhe kya milega

Tu to khwahishon ke shehar mein hai
Tu to chaahaton ke safar mein hai
Na hai hosh apne wajood ka, na khayaal hai

Ja-ba-ja tu chal diya, phir kahaan
Dhoondta hai kyun tu sang-e-mah
Ja-ba-ja tu chal diya, phir kahaan
Dhoondta hai kyun tu sang-e-mah
Sang-e-mah

Kahin roop tere ae zindagi
Har roop mein kahin rang
Tujhe phool kaise milein bata
Tere haath mein hai sang
Jo suni gayi na hui bayaan
Ankahi si dastaan
Usay qaafilon se kya waasta
Woh hai khud mein kaarwaan

Woh jo khwaab mein bhi na mil saka
Tujhe kya milega
Woh hai bekhabar, woh hai gumshuda
Tujhe kya milega

Tu to khwahishon ke shehar mein hai
Tu to chaahaton ke safar mein hai
Na hai hosh apne wajood ka, na khayaal hai

Ja-ba-ja tu chal diya, phir kahaan
Dhoondta hai kyun tu sang-e-mah
Ja-ba-ja tu chal diya, phir kahaan
Dhoondta hai kyun tu sang-e-mah
Sang-e-mah

Usay zakhm se mili roshni
Kai bhed aise ayaan hue
Woh nazar mein aake thehar gaye
Jo na lab se dard, bayaan hue


Writer(s): Sahir Bagga, Fatima Najeeb
You May Also Like
Asees Kaur, IP Singh, Dev Negi & Sachin-Jigar - "Bansuri" Pichhe pichhe aunda Meri vehnda aaye Jutti vi kasoori meri Ohvi lainda aaye Tere mere vich channa Honi nai gudmahi Haaye siyapa hoye siyapa Honi nai gudmahi Lambo laike aawan gehi maaran Tere...
Yo Yo Honey Singh - "Brown Rang" Kudiye ni tere, brown rang ne. Munde patt te ni saare mere town de Kudiye ni tere, brown rang ne. Munde patt te ni saare mere town de Koi kam utte jaave na Roti paani khaave na Gori gori kudiya nu...
Arijit Singh - "Hawayein" Tujhko... main rakh loon wahaan Jahaan pe kahin Hai mera yaqeen Main jo... tera naa huaa Kisi ka nahin Kisi ka nahin Le jaayein jaane kahaan Hawayein, hawayein Le jaayein tujhe kahaan Hawayein,...
Badshah & Aastha Gill - "Paani Paani" Usne mujhe chhua bhi nahi Aisa waisa kuch hua bhi nahi Nazar thi paini, hui bechaini Aankhon aankhon mein shaitani ho gayi Saiyaan ne dekha aise Main paani paani ho gayi Main paani paani ho gayi...
Neha Kakkar & Pardeep Sran - "Tattoo Waaliye" Tattoo, tattoo Tera instagram dhuandhaar ve Dekha jab se main dil gaya haar ve Meri zindadi te parliament vich Bas kudiye ni teri sarkar ve Tere naam kar diya ghar baar ve Sadda bungalow te saddi...