"Dekh Toofaan Aaya Hai" lyrics

D'Evil Lyrics

"Dekh Toofaan Aaya Hai"
(from "Toofaan" soundtrack)

Hawa khane nikle the na ab dekh kaun aaya hai
Mumbai ki mitti aur dhool se banaya chhote
Thode se khun aur junoon se banaya hai
Mehnat ki paseene ki boond se banaya chhote
Zindagi ke maksad ko dhoondh ke banaya hai

Jaan aur imaan se banaya hai
Dekh main kya laaya hai
Dekhna main kya laaya hai
Tere liye apan toofaan leke aaya hai

Toofaan, toofaan
Rukega nahi
Toofaan, toofaan
Jhukega nahi
Toofaan, toofaan
Mudega nahi
Toofaan, toofaan

Pehle shanti thi abhi kranti hai
Jo public jaanti nahi thi abhi maanti hai
Asli se nakli ko chhanti hai
Keemat bhi naam ki nahi hai bas imaan ki hai
Ek number

Sunsaan tha sab ab ghamashan bana hai
Jeena aur jitna aasan bana hai
Bina aadhar ke apni pehchan bani hai
Apni zindagi jo hawa thi woh toofaan bani hai

Toofaan, toofaan
Rukega nahi
Toofaan, toofaan
Jhukega nahi
Toofaan, toofaan
Mudega nahi
Toofaan, toofaan
Aagela hai

Ghar se nikalne ka nahi
Garmi horeli hai to phir jalne ka nahi
Jo jal gaya woh thal gaya
Phunk maari toh uchhal gaya

Bhaunkne wala ghar gaya
Aur daudne wala chal gaya
Jitne thopde the tod diye
Sab rishte naate jod diye

Atakne waalo ko chhod diye
Patkne waalo ko fod diye
Ab har din bolega toh war hai na bhai
In kaali raaton ke apan star hai na bhai

Samandar mein chhed karde
Mushqil ko kaid karde
Andar se khed karde
Hum logo main bhed karde
Aane waale mod se nikle
Kal ko pichhe chhod ke nikle
Pahle rod pe dikhte
Ab manjil tod ke nikle

Toofaan, toofaan
Rukega nahi
Toofaan, toofaan
Jhukega nahi
Toofaan, toofaan
Mudega nahi
Toofaan, toofaan
Aagela hai

Sunsaan tha sab ab ghamashan bana hai
Jeena aur jitna aasan bana hai
Bina aadhar ke apni pehchan bani hai
Apni zindagi jo hawa thi woh toofaan bani hai


You May Also Like
Emiway Bantai - "Grind" Wo karna chaahti grind Main bhi baitha masti mein Khadi hai behind Toh phir aag lagi basti mein Baby are you fine sip karu wine Kyun tu itni hot hai main cross karu line Wo karna chaahti grind Main...
Raja Kumari - "N.R.I." (Kirtak, dhin-na) (Dha, dhinak, dhin-na) (Uh, kirtak, dhin-na) (Dha, dha, dha, dha, dha, dha, dhin-na, dhin-na) I love it when they big mad Talkin' shit on Instagram They don't know I'm woke I guess...
DIVINE - "Jungle Mantra" Jaanwaar toh public hai ban kare zooo Nikla zanjeer ko tod ke azaad hokar ghoomun Jaanwaar toh public hai ban kare zooo Nikla zanjeer ko tod ke azaad hokar ghoomun Yeh jungle jungle, jungle ka...
Jass Manak - "No Competition" We back Jass Manak Divine Sunday in a competition! Ho meri jaan na ho pareshan Jhooth bolne da koyi reason nahi Na ajj koyi hai na kal koyi hai Tere yaar da taan koyi competition nahi Ho meri jaan...
Shreya Ghoshal - "Param Sundari" Aye bikaneri chhokri santre ki tokri Ghar toh chhudwaya ab kya chhudayegi naukri Romiyo romiyo gali ke romiyo Bholi shaqal wale saare ke saare farebiyon Romiyo romiyo Bhaade ke premiyon Kaahe gale...