"The Big Bull (Title Track)" lyrics

CarryMinati Lyrics

"The Big Bull (Title Track)"
(from "The Big Bull" soundtrack)

To kaise hai aap log?

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai
Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

Inko kya pata maine kari kitni mehnat
Saari baaton se tha main poora sehmat
Saari zindagi inhone mujhko rulaya
Inko bhi to mila tha jo maine kamaya

Rote rote bhi inka dhanda maine chalaya
Phir bhi inhone hai saara dhanda mera khaaya
Yeh saari inki maya inka hi kala saya
Inke mayazaal se main bhi to bach na paya

Inhein lagta hai main ek fakeer hun
Agar yeh hath hain to main inki lakeer hun
Jin hathon ne hai mujhko dabaya
Unn hathon ki to dekh beta main zanjeer hoon

Ameeron wala khwaab chaato inki dhool
Dikhne mein sundar yeh kaante wale phool
Phool se bhara dekh mera pool
Tum hoge yahan ke principle par main hun poora school

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai
Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

Jaan'na chahoge kya tum paison ki jaat?
Samjho baap hai ya samjho ise ashirwad
Banata todta yeh zindagiyan raaton raat
Bharni jeb ya banani poori zaaydad

System hai badalna ya phir karna us'se blame
Pakadna chahte mujhe ya phir game
Main hun woh bull jo kabhi na hoga tame
Hath hai hilte inke jab yeh karte mujhpe aim

Gareeb hai chup kyunki ameeron ki easy bail
Ameer hai khush kyunki gareebon ki lagi sale
Ghalti hai kiski? Aur badle mein kaun jaata jail?
Ban'na hai cheetah ya rehna tumhe bas ek snail

Mazboor hun kabhi na hoti plate full
Harqatein maanega samaaj meri shamefull
Akela hi karunga main saara weight pull
Yaad rakhna I'm the one and only big bull

Let's go!

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai
Ek kahaani hai jo sabko sunani hai
Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

The one and only big bull
The one and only big bull


soundtrack: "The Big Bull" (2021)
You May Also Like
Darshan Raval - "Ek Tarfa" Akhiyon se dariya beh gaya haaye Khwab woh adhoora reh gaya Jag bhi paraya ho gaya haaye Juda tera saaya ho gaya Teri duniya mujhe ab na gawara hai Par tu hasdi reh bas yehi sahara hai Mohabbat ho...
Arijit Singh - "Rihaa" Man man chala Yeh na ruka kuchh dikha naya Man chala wahan ho Qaidi hoon main Man bediyan kholta nahi Chhodta nahio ho Hassa sa chehra hoon Yaadon mein gehra hoon Kya chahiye bolo Ik pal mein lamha...
Badshah - "Awaara" Ghoomein hum gali gali ghoomein Gaali aur chewing gum muh mein Delhi basti hai rooh mein Awaara hai hum Khatre mein competition Har din hai celebration Na koyi destination Awaara hai hum Nashe mein...
Tony Kakkar & Neha Kakkar - "Gale Lagana Hai" Hum bheegi bheegi raton mein Tera intezaar karte hain Kya kahoon tumhe jaana jaan Kitna pyaar karte hain Duniya ne jo zakhm diye har zakhm dikhana hai Zara paas toh aao gale lagana hai Zara paas toh...
Gajendra Verma - "Aaj Phir Se" Tere kaano ke piche Mera hath ho Bas saanson saanson mein Saari baat ho Chhup jaun seene mein Kisi ko na miloon Teri baahon ko apna Ghar main maan loon Aaj is chat pe Chand taare lagenge Teri...