"Better With You" lyrics
Kushagra, Ansh4sure & Saaheal Lyrics
"Better With You"
Tha pheeka aasmaan aur pheeki hawa thi
Berang sa hi tha main yahaan
Phoolon si baatein uski aayi kahin se
Ke rangon se bhar diya jahan
Haan, kehte hain, jab se wo aayi
Haazaron naazare bhi pheeke se lagte hain
Ke kaafi pyaase the, jaana
Ab khaali pyaale bhi jheelon se lagte hain
Ke kaafi farishte bhi aaye
Jo jannat dikhaane ko mujhko tarsate hain
Ho uski agar ankhein wahan na
Toh jannat bhi jannat kahan
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
Baitha rahe tu mere sirhaaane
Takta rahoon, subha hui, pata bhi chale naa
Has ke jo tu, haan, nazrein churaaye
Sharmana bhi tera lage, jaise thandi si koi fiza hai
Ajab sa karishma hai tera
Tu jab bhi chalaye, haan, beshak ye chalta hai
Jab hoti hai saath tu mere
Zamana bhi, dekho na, kitna kilasta hai
Ek toh ye chehra gulaabi
Aur uspe ye aankhein sharaabi
Aur meri har mannat mein tu jo raha
Nahi toh mannat bhi mannat kahan
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
Writer(s): Saaheal, Ansh Sharma, Thakur Kushagra
- AZLyrics
- K
- Kushagra Lyrics
You May Also Like
Atif Aslam - "Meri Kahani" Jhula jhulaiy ye panghat nadiya kinare
Ye angan nindiya tu ana
Hawa ke sang mujhko bhi tu dikhana
Apne rang suno mere dil janiya
Kahani mani ek din mere sang ye jahan tha
Tan mera kuch aur tera bhi...
Anuv Jain - "Antariksh" Karta main baatein meri aaine se dekhun teri
Tujhse kaise, khul ke vaise bolun main ye raaz dil ke?
Ab tere saamne huin, kitna kuch main kehna chahun
Mujhko yeh bata de phir kyu khojun main alfaaz...
King - "Maan Meri Jaan" Main teri aankho mein udaasi kabhi dekh sakda nai
Tujhe khush main rakhunga soneya
Main tere hotho pe khamoshi kabhi dekh sakda nai
Sari baatein main sununga soneya
Tere dil se na, kabhi khelunga...
AFUSIC - "Ek Baar" Nashay main tum, nashay nashay main ham
Sabhi hay purple 7 rang
Hain teri yadon k saharay
Main kush hun dekh le bharam
Jo tum nahi to sab khatam
Ham tanha dil ko yun mana rhe
To kya hay ye majra...