"Melancholy" lyrics

Talha Anjum & Umair Lyrics

"Melancholy"

Yeah, yeah, it's your boy
Is jam e ghafeer mein meri wafao ke laiq koi tha he nai
Dastakein di bohot, dil ka dar khula he nai
Dil mein dar tha, wohi hua ke tu mila he nai
I am looking for reasons ab baaki koi waja he nai
Tu hansta nai tou kabhi dard se muskura he sahi
Koi rasta nai tou khud se rasta koi bana tou sahi
Meri wafadaar kya is puray jahaan mein khaak he rahi
Ke Janam tere baad teri mehek jo us se aati rahi
Kabhi thi ho wo shaam ke dil pe bhaari pan na ho
Ya khulay jo ankh tou tum na hum na ho
Aur baaki hain humaray beech agar sirf faaslay
Tou karu umeed ke kisi safar se duri kam na ho
Ye kaisi hai kashmakash tu kuch tou keh
Teri he intizaar mein diye jo jal ke bujhtay rahay
See now I'm a changed man
Tou waaday nai karuga tujhse mein
Tu rahi na khush jo mujhse khud se nahi hu khush bhi mein
Ab ghoomay dimagh, mitau wo chaar ashaar mein gussay me
Ab nahi rahay wo yaar tou ehtiyaat karu khud se mein
Aakhri mulaqat, phir kabhi na milsaka khudse mein
Wo tera mu pherna, mur ke chalna mustaqil
Kabhi buland bhi tha, kabhi zameen bos
Kabhi likhu he nai, aur likha tou diye kai'n dil tor
Likhay geet kuch mein ne jo louge ke zehen pe raqam kiye hain
Ab zakham dene walay se kya puchu ke kyun tu ne zakham diye hain?
Damn!


You May Also Like
aleemrk - "SAR-E-AAM" Is game ki mili mujhe noc Kaam jo bhi karu hota an oc Nahi hai koi jin mera pen oc Hype cash kare bina kese chen logi Tere girne kee waja tera ban OT Mere bharne kee waja I can OT Banai apni worth...
King & HIGHBORN - "Tera Hua Na Mai Kabhi" Tera hua na mai kabhi Chal kisi aur ka sahi Mujhse khafa hoke tu jo gayi Kehna na, tune kyun roka nahi? Mai reh lunga tujhse judaa hoke bhi Par mujh jaisa milna tujhe na kabhi Tera hua na mai...
DIVINE - "Vibe Hai" हाँ, vibe है, vibe है Gully Gang, boy चल, चल, चल, चल You know I got that vibe Vibe है, vibe है थोड़ा सा side दे, छोकरे सब hard इसलिए तो hype है, hype है, hype है You know I got that vibe Vibe है,...
MC Stan - "Amin" Teraa Teraa Meri maa meko ek din dekh ke, kyu ro padi Bolti tere haal dekh, tere gande baal dekh Aur andar jaare gaal dekh, kaale hore honth dekh aur Kyu tu aisa hora dekh Tattoos tere haath pe nahi...
AP Dhillon & Gurinder Gill - "Droptop" Oh droptop gaddiyan ch ghoomde ae yaar Dub vich russian banda dindi faad Aithe chadhte ton chadhte salaam'an karde Muh naa tu add thall paa dinde yaar Aithhe paaya jattan da chune vakhre je raah...