"Naya Pakistan" lyrics

Young Stunners (Talhah Yunus & Talha Anjum) Lyrics

"Naya Pakistan"

Yeah yeah yeah yeah
Young Stunner
21 gun salute
Real talk
Suno

Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Shareef rehte jail mein ghareeb hain behaal
Savaal uthta hai aakhir koi hal hai
Jismein paani aaye roz aisa koi nal hai
Jaani ye toh impossible hai
Ye politics toh bas ek daldal hai
Jismein ham saare Pakistani saath chal rahe
Chulha jalta nahin aur gutter hain upal rahe

Dam banane hain, darkh lagaane hain
Bacchon ko parhna hai, ab aage barhna hai
Mujhe umeed hai ke, tabdeeli hai aani
Suno kahaani shaheedon ki maan ki zubaani

Main hoon Pakistan, main Abdul Sattar Edhi
Main hoon Pakistan, main hoon Shahid Afridi
Main hoon Pakistan, main Iqbal ka ek khvaab tha
Main hoon Pakistan, main Jinnah ka ek ehsaan tha

Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan

Main likhoon sach, lage karva koi parvah nahin
Phir [?] zaat ke piche ham koi larva nahin
Mulk bada soch choti ikhtilaf vo
Aur jaan sasti roti mehengi phir bhi bardaasht bahut
Aur itihaas bole ham kisi se kam nahin
Main hoon Pakistan main koi terrorist ya bomb nahin
Tabdeeli aayi nahin, usko laana hai
Shaoor paato apne, [?] mein jaao shuru karo khud se
Hamne corrupt ko chupaana nahin giraana hai
Aage jaana hai, ghurbat ko mitaana hai
Bacchon ko parhana hai aur gand nahin phailaana hai

Aakhir kab tak sirf ameer chhape noton aur relax kare
Ghareeb dab raha, middle class tax bhare
Samaaye kone ka aakhir jaago toh sahi
Gumraah toh voh hai jo ghar se nikle hi nahin

Ye naya Pakistan, umeed ab koi behaal na ho
Shauq-e-kamaal na ho, maan ka daaman laal na ho
Khuda kare ke mere arz-e-paak pe utre vo fasl-e-gul jise andesha-e-zavaal na ho

Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan


You May Also Like
AP Dhillon & Gurinder Gill - "Droptop" Oh droptop gaddiyan ch ghoomde ae yaar Dub vich russian banda dindi faad Aithe chadhte ton chadhte salaam'an karde Muh naa tu add thall paa dinde yaar Aithhe paaya jattan da chune vakhre je raah...
King - "Pablo" Khoobsurati rakho tum Aisi cheezein mere kaam ki nahi (Wo-ooooo) Main bas ginta hun note meri jaan Kya tu jaanti nahi? (Wo-ooooo) Khoobsurati rakho tum Aisi cheezein mere kaam ki nahi (Wo-ooooo)...
aleemrk - "Warm Up" Galat baat han tu mere aage karna nahi Rone dhone beshak kar par mere moo pe dharna nahi Idhar jalan udhar jalan awaien sab se jalta bhai Bhai bole mujhe tu par sath mere kal tha nahi Alag lane me...
MEMAX - "Kya Bolte Bro" Kya bolte bro (Hmmm) Kya bolte bro (Hmmm) Jitne the nakli (Nakli) I let them go (Go, go) Kya bolte bro (Woo) Kya bolte bro (Hmmm) Jitne the nakli (Nakli) I let them go (Go, go) Just let them go!...
Emiway Bantai & Young Galib - "Busy" Mujhe chahiye tera pyar Tujhe chahiye mera time Yeh nahi pata waqt cus I am busy on my grind Yeah I am busy on my grind Yes you're always on my mind Yes you're always on my mind Yes I am always on...