"Tujhko" lyrics
Arijit Singh & Sunidhi Chauhan Lyrics
"Tujhko"
(from "Cocktail 2" soundtrack)
Jeene ki hai tu hi wajah, jeena tere liye
Main kya kahoon ke yaar, tu hai kya mere liye?
Zamaane mein kahin meri tarah kabhi
Chaahega na koi tujhko
Jaise maine diya, waise poori tarah
Dil dega na koi tujhko
Tujhko, jab se mila tujhko
Tujhko, maana jahaan tujhko
Subah ki saari furtiyaan, bekhudi har shaam ki
Na ho tere saath mein, toh mere kis kaam ki?
Uthe jo mera har qadam tere sang shuruwaat mein
Haath daale haath mein, fikr kya anjaam ki?
Mujh mein zyada ab tu hi hai, jitna main hoon woh kyun hi hai?
Kuch aisa kar, main dhoondhun bhi toh paaun na khud ko
Tu hi to aasmaan, tu hi meri zameen
Maana hai zindagi tujhko
Bin maange har dua (Bin maange har dua) poori hui meri
Paaya jo, humnasheen, tujhko
Tujhko, jab se mila tujhko
Tujhko
Galtiyaan bhi teri main gawaara karoon
Yeh khata hi sahi, par dobaara karoon
Kya karoon? Sarphira ishq hi hai mera
Izhaar ka yahi tareeka hai mera
Aankhon ki hai tu roshni, tu hi toh khwaab hai
Main hoon agar sawaal, toh tu hi jawaab hai
Zamaane mein kahin meri tarah kabhi
Chaahega na koi tujhko
Jaise maine diya, waise poori tarah
Dil dega na koi tujhko
Tujhko
Tujhko
Tujhko
Tujhko, maana jahaan tujhko
- AZLyrics
- A
- Arijit Singh Lyrics
soundtrack: "Cocktail 2" (2026)
You May Also Like
Anuv Jain - "Baarishein" Haule se, dheeme se
Mujhko baahon mein bhar lo na tum
Narm si sanson mai
Mujhko aahon mai bhar lo na tum
Sun zara, mere paas aa
Ab baithe hain hum bhi yahan
Dil ke darmiyaan
Baarishein hain,...
Atif Aslam - "Woh Lamhe Woh Baatein" Woh lamhe, woh baatein
Koi na jaane
Thi kaisi raatein
Hooo, barsaatein
Woh bheegi bheegi yaadein
Woh bheegi bheegi yaadein
Na main jaanoun
Na tu jaane
Aa ah
Kaisa hai ye mausam
Koi na jaane
Kahi se...
Anuv Jain - "Husn" Haan, haan
Dekho, dekho, kaisi baatein yahan ki
Hain saath par, hain saath naa bhi
Kya itni aasaan hai?
Dekho, dekho, jaise mere iraade
Waise kahaan tere yahan the
Haan, kitni naadan main
Mere...
Shreya Ghoshal - "Saiyaara Reprise - Female" Hmm-mm-mm, hmm-mm-mm
Aa-aa-aa, aa-aa-aa
Main tere kal mein hoon, aaj mein hoon
Main teri saanson ke saaz mein hoon
Aankhein jhuka ke sunle mujhe tu
Main tere dil ki aawaz mein hoon
Tu hausla hai, tu...
Atif Aslam - "Baarish" Chehre mein tere
Khud ko main dhoondhun
Aankhon ke darmiyaan
Tu ab hai iss tarah
Khwabon ko bhi jagah na mile
Yeh mausam ki baarish
Yeh baarish ka paani
Yeh paani ki boondein
Tujhe hi toh dhoondhe...