"Bawaria" lyrics

Jubin Nautiyal & Suvarna Tiwari Lyrics

"Bawaria"
(from "Dhadak 2" soundtrack)

Berang thi main, hai rang diya
Mila jo tera hai sang piya

Main teri hawa mein kahaan udd gayi
Tune moda jahaan, main wahaan mud gayi
Haan, tere bina baaje na yeh payaliya, o

Main nachu kamariya baandh ke
Mera sab kuch tujhko maan ke
Teri dhun mein seena taan ke
Teri ho gayi, ho gayi, ho gayi bawaria
Main nachu kamariya baandh ke
Mera sab kuch tujhko maan ke
Teri dhun mein seena taan ke
Teri ho gayi, ho gayi, ho gayi bawaria
O, bawaria
O, bawaria
Bawaria

Khoya-khoya sa
Khoya, khoya, khoya-khoya sa
Khoya-khoya sa rehta hoon yahin
Aaj-kal mere yaaron mein
Dil mera kahin lagta hi nahi
Chal chale kahin taaron mein
Kisi ko kuch bhi tu naa bataana
Thoda sa paagal hai yeh zamaana
Tu jab se mila tab se main tera hua
Hai sabko pata

Main teri hawa mein kahaan udd gayi
Tune moda jahaan, main wahaan mud gayi
Haan, tere bina baaje na yeh payaliya, o

Main nachu kamariya baandh ke
Mera sab kuch tujhko maan ke
Teri dhun mein seena taan ke
Teri ho gayi, ho gayi, ho gayi bawaria
Main nachu kamariya baandh ke
Mera sab kuch tujhko maan ke
Teri dhun mein seena taan ke
Teri ho gayi, ho gayi, ho gayi bawaria

Chalu bawaria main teri aur
Tere ishq ne baandhi kaisi dor
Hun-jhun, hun-jhun kare dil yeh shor
Jaise jhaanjhan chhanke chaaro aur
Chalu bawaria main teri aur
Tere ishq ne baandhi kaisi dor
Hun-jhun, hun-jhun kare dil yeh shor
Jaise jhaanjhan chhanke chaaro aur

Tu nache kamariya baandh ke
Tera sab kuch mujhko maan ke
Meri dhun mein seena taan ke
Meri ho gayi, ho gayi, ho gayi bawaria


You May Also Like
Darshan Raval - "Tera Zikr" Abhi abhi to mile the Phir juda ho gaye Kya thi meri khataa Tum sazaa ho gaye Mujhe khone ke baad ik din Tum mujhe yaad karoge Phir dekhna milne ki mujhse Tum fariyad karoge Mujhe khone ke baad ik...
Arijit Singh, Neeti Mohan & Kaushik - "Mere Yaaraa" Tumse dil jabse mila hai Koi to wajah hai, Ishq hua hai Itni si baat samajh lo Saaare jaahan me tumse hua hai O Laakho mile, Koi bhi na tumsa mila O Mera ye dil teri or chalta gaya na rukaa Mere...
Gajendra Verma - "Mann Mera (Original Version)" Saari raat aahein bharta Pal-pal yaado mein marta Maane na meri mann mera Sooni-sooni shaam, soone savere Behte hain aansu mere Jaane kuch bhi na mann mera Kabhi tera tha jo ab begana hai wo...
Darshan Raval - "Asal Mein" Kyun Khuda ne di laqeerein Jisme zaahir naam nahi tera Likh raha hoon dard saare Yun toh shayar naam nahi mera Itna bhi kya bewafa koi hota hai Yeh soch kar raat bhar dil ye rota hai Asal mein, tum...
Atif Aslam - "Kuch Is Tarah" Kuch is tarah teri palkain meri palkoon say mila de... Aanso teray saaray meri palkoon pay saja de... Kuch is tarah teri palkain meri palkoon say mila de... Aanso teray saaray meri palkoon pay saja...