"Beparwah" lyrics

"Beparwah"

(O beparwah)
Kya yehi pyaar hai? Ya hai yeh tera sitam?
Ke tujhe hum bhula na sakay
Dil mera lachaar hai
Aur ab tou mere zakham bhi mujhe
Yoon rula na sakein
Kyun ae dil-nasheen?
Hai lagta kabhi
Ke hokay yahaan bhi tu nahi
Yeh khamoshiyaan satayein mujhe
Tou sunn le meri yeh sadaein ke

Yeh aankhein hain nam
Mein tanha, tu jaanay na
Tu jaanay na
Ke tera sanam hai ruswa
Tu jaanay na
O beparwah

Sambhalo mujhe
Yeh mehkada bewafa hai bara
Larkhara jaon ga
Mujh se bacha lo mujhe
Be-aasra hoon yahaan mein khara
Mein kahaan jaon ga?
Haan, ae dil-nasheen
Andheron mei hi
Bitaa jaon ga mein zindagi
Yeh sargoshiyan rulaein mujhe
Aur madhoshiyon ki hawaon mei

Yeh aankhein hain nam
Mein tanha, tu jaanay na
Tu jaanay na
Ke tera sanam hai ruswa
Tu jaanay na
O beparwah


You May Also Like
Anuv Jain - "Mishri" Yeh palkon mein Kuch baate hain Tere bina, tere bina Adhri si, saari raatein hain Tere bina, tera bina Aur aasma mein Jo taray hein Tu waise mere Dil mein sajha hain Ye taray jo Ab tootay toh In...
AUR - "Mat Jao" Hm-mm-mm Mm-mm-mm Aah-aah-aah Mat jao, mat jao Ruk jao, ruk jao Dekho rog agar tum to kaise main manaunga Mujhko to aata nahi hai manana Yeh aansu keemti hai aur duniya matlabi hai Inko duniya ke...
AUR - "You" Tum ho, wohi jis ki zaroorat hai Haseen hai chaand bhi, magar ek teri soorat hai Jo dil maangay duaon mei, wohi tum ho Yeh mein kab hoon? Tum hi tou ho Tum hi tou ho Tera chehra, humari hai nazam...
AUR - "Safarnama" Shab e gham kyu dhalti nahi Zindagi ye badalti nahi Mai bhi haal batata nahi hu Tu bhi to chehra ye pdhti nahi Mere gham ki wajah bhi hai kuch To ye gham be sabab bhi nahi Aankhein tere hijr mein...
Anuv Jain - "Riha" Ret pe pairon se tere nishaan mere dil par Logon ki lehron si, haaye Baaton se mitenge kab tak Ho jana tu riha, mere Ho jana tu riha, mere Naa hona chahun main Naa ho sakun kabhi Tasveeron mein...