"You" lyrics
"You"
Tum ho, wohi jis ki zaroorat hai
Haseen hai chaand bhi, magar ek teri soorat hai
Jo dil maangay duaon mei, wohi tum ho
Yeh mein kab hoon?
Tum hi tou ho
Tum hi tou ho
Tera chehra, humari hai nazam
Shuru tum se, tum hi pe hai khatam
Tumharay thay, tumharay hain sanam
Kabhi mil lou, mohabbat ki qasam
Ay saaqi jaam tou de
Mere gham ko koi naam tou de
Uski tasweer dikha, martay martay araam tou de
Uski awaaz suna, uska koi paigham tou de
Mushkil hai bhoolna usko, kaam koi asaan tou de
Mar jaon kya?
In aankhon ke aansu ko mein samjhaon kya?
Tu rokta bhi nahi hai, mein ab jaon kya?
Awaaz hi bas de de
Na chup reh ab, tu kuch keh de
Sunein tou na barhein qadam
Tera chehra, humari hai nazam
Shuru tum se, tum hi pe hai khatam
Tumharay thay, tumharay hain sanam
Kabhi mil lou, mohabbat ki qasam
Shayad yeh zakham, itne nasoor ho jaayein
Ke dard ka kuch pata na chalay
Us pe yaqeen is tarha hai mujhe
Be-wafayi karay, be-wafa na lagay
Ek din dikhi mujhko ek duur khari shehzadi
Aankhon ne madad kari, dil ne tasweer bana di
Mein apne wehem-o-gumaan ki dunya se aajata par
Phir yoon huwa woh mujhko dekh ke muskura di
Tera chehra, humari hai nazam
Shuru tum se, tum hi pe hai khatam
Tumharay thay, tumharay hain sanam
Kabhi mil lou, mohabbat ki qasam
Thanks to Rizwan Ul Haq for correcting these lyrics.
- AZLyrics
- A
- AUR Lyrics
EP:
"You Paint Me Again "PURPLE"" (2025)
You May Also Like
Talha Anjum - "Laapata" Dil ka kya hi lena hai siyasaton se?
Tu raaj karti dil ki inn riyasaton pe
Chaand jo galli may nikla aaj phir se
Matlab chaand utar chuka hai dekho aaj chhat se
Tujhe kis se maangun, maanga sau dafa...
Taimour Baig - "Humsafar" Kuch baatien mere dil mai
Wait a second unhe suno abhi jao nahi
Meri zindagi mai waisay hi itne maslay
Meri zindagi mai aur maslay lao nahi
Tu mai aur aik chup chai hum dono high hume weed deden...
Anuv Jain - "Husn" Haan, haan
Dekho, dekho, kaisi baatein yahan ki
Hain saath par, hain saath naa bhi
Kya itni aasaan hai?
Dekho, dekho, jaise mere iraade
Waise kahaan tere yahan the
Haan, kitni naadan main
Mere...
Vaibhav Kundra & Taimour Baig - "Paagal" Tu husna da badal
Kitta ghayal
Pagal menu kardi
Teri payal
Tu husna da badal
Kitta ghayal
Pagal menu kardi
Teri payal
Per gulabi
Nain. Sharabi
Kudi ae tu kill
Na koi kharabi
Pi laan tenu
Peg...
Tony Kakkar - "Zindagi Bata De" Zindagi Bata de kyon tu khafa hai
Sansein hi toh le raha hoon
Ye bhi kya gunaah hai
Zindagi Bata de kyon tu khafa hai
Sansein hi toh le raha hoon
Ye bhi kya gunaah hai
Mere apne bhi apne nahi hain...