"AWAY FROM ME" lyrics

"AWAY FROM ME"
(feat. Shareh, Izzchughtai)

Sochu mai tou baat ek hi baar baar
Neend nahi meri ankh khuley chaar baar
Mai bus kamray mein band yaha zamanay say mai tang
Maine waqt dekha baj rahay thay chaar-paanch

Khuahishein meri bolein mujhe maar daal
Bina marz kay bhi hua mai tou la-elaaj
Mujhe teri lagay kami kuch bhi nahi lagay sahi
Jhootay mou kabhi puch ley tu haal chaal
Ab kese batayein kay kese yaha dhaltay hain din
Phir kese yaha houti hai shaam
Kese wou atay hain kese wou jaatay hain
Kese wou suntay nahi hain paighaam
Kese phir rouyega nahi? yeh dil ajeeb
Jab aati hai teri phir yaad
Dikhey koi faida nahi rulaye mazeed
Tou houta nahi mujhse koi kaam
Yaar

Kaisay bataoon mai?
Tujhe he chaahun mai
Teray bina ye sab
Kaisay guzaroon mai?
Dhalti shaam hai
Kalam ghulaam hai
Likhta jo mai sab
Teray he waastay

Sochu mai tou baat ek hi baar baar
Neend nahi meri ankh khuley chaar baar
Mai bus kamray mein band yaha zamanay say mai tang
Maine waqt dekha baj rahay thay chaar-panch

Dil kaanch ka tou dikhta sab aar paar
Dekhey maine sab halaat idhar nasaaz
Maine chora nahi bed phir bhi bolu kay mai set
Mere puray idhar bikhray hain baal waal
Koi lagay mujhe apna hi nahi
Log mujhe boley kay tu hassta hi nahi
Phir shuru houtay wahi sawaal wahi baat kay kiya haal
Mai bezaar bolu masla hi nahi
Dafa karou mujhe idhar hassna hi nahi
Baat paltou mujhe idhar phassna hi nahi
Chaaha maine jissay puray dil say wou milay nahi phir say
Tou kiya karu chahtay wou basna hi nahi?

Chaar diwaari k darmeyaan
Kalla
Chaaron paasay kaisa gumaan
Tera


You May Also Like
aleemrk - "Life Goes On" Instagram delete mene kar dia tha pichle haftay Sukoon nahi milta shayad kat jau me ab in sabsay Han jabsay paida hua tab se hee me dheet hun Aja meri jaan tujhe saari apni cheez du Ye rakh tu paise...
Gurinder Gill, Shinda Kahlon & AP Dhillon - "Faraar" Tola Khake Ankhan Rahiye Sekhde Poore Bar Khoari Latte Fekde Sone Batt Da Baretta Hiq'an Kholda Khali Langde Na Fire Aar Paar Ni Baggi Wangu Mustang Jandi Udd'di Jeone Mode Wangu Rahida Faraar Ni...
Shubh - "Safety Off" Gunna chaar te bande do ne Baithe yaar na koi hor ne Doongi maar kanna nu phone ne Piche car de rakhiya barah bor ne bor ne Gunna chaar te bande do ne Baithe yaar na koi hor ne Doongi maar kanna nu...
Karan Aujla & Signature By SB - "Courtside" Yaar Sare type de ni sau te kaleshi a Nal betha born Canada jma desi a Ni Kurte na sohniye snapback-an palia Paira vich Jalsa rkane mode khesi aa Ni Jdo kolo lang gi sira e hogea Kude menu ishq nira...
Diljit Dosanjh - "Kinni Kinni" ਨੀ ਰੰਗ ਤੇਰਾ time ਜਿਵੇਂ noon ਦਾ ਮੁਖੜਾ ਐ ਘਰ ਨੀ ਸਕੂਨ ਦਾ Tattoo ਗੁੱਟ Sun ਦਾ ਤੇ Moon ਦਾ ਤੂੰ hot ਤੋਂ ਪਹਿਲਾਂ ਦਿਨ June ਦਾ ਮੇਰੇ ਵੱਲ ਤੁਰਿਓ slowly ਦਿਲ ਮੇਰਾ beat ਕਰੇ ਹੌਲੀ ਨਜ਼ਰ ਝੁਕਾ ਕੇ ਜਦੋਂ ਬੋਲੀ ਤੂੰ ਸੁਪਨਾ ਤੇ ਅੱਖ...