"Shayad" lyrics

"Shayad"

Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya

Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya

Teri tasveer le ke sochoon tere baare mein
Bachi tanhaai, aur sirf main aur taare hain
Bas isi aasre pe kat'ti hain raatein meri
Ki shaayad sochta hoga wo mere baare mein

Haan, jis nazar ka main hoon muntazir, hoon aaj bhi
Usi nazar ko mera intizaar tha nahiin
Taras gaye hain jis pukaar ko ye kaan mere
Wo sab jaanta hai, bas pukaarta nahiin

Kabhi tu hai shaayad, kabhi tu yaqeen hai
Kabhi tu hai shaa'ir, kabhi shaa'iri hai
Kabhi tu hai mera, kabhi ajnabi hai
Kabhi tu yahiin hai, kabhi tu nahiin hai

Mere in labon pe bas ek kaash si hai
Jo rone na deti wo teri hansi hai
Jo teri jagah thi wo khaali padi hai
Tu mujhse hai door, par yaadein yahiin hain

Bas teri hi yaadein is dil ko jagaati rahiin
Tere bin adhoora, mujhe kyuun hai tu laazimi?
Main thahra musaafir aur chubhti hai teri kami
Har shaye hi hai haasil, bas tu hi laa-haasil rahi, o ajnabi

Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya

Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya

Wo kahti thi, aankhon mein meri hai nami
Aur nami to hoti wafa ki nishaani
Nami ki hai kami aankhon mein tumhaari
Jo dekhi hai kuch ab tasveerein puraani

Wo kehti thi, lafzon mein mere usey
Ek aks sa milta hai
Talaash thi usey jis shakhs ki, mera hi chehra
Us shakhs se milta hai

Be-rukhi kar gaye ho naye andaaz se tum
Is chup si awaaz ka to naaz the tum
Aise paas the tum, jaise saaz mein dhun
Ab sun'ni hai awaaz to ja ke raaste sun

Aate hi nahiin, ye socho, kaash ki tum
Aise bikhroge, jaise patte taash ke tum
Mera kal, mera maazi, mera aaj the tum
Are, beeti baatein chhodo, mera khwaab the tum

Hain aansu kya laazim, jo yaad hai aati teri?
Wo mushkil ki ghadi judaai ka waqt nahiin
Main khwaab bhi dekhoon to khwaabon mein bhi hai tu hi
Hai dil kah raha, hum mileinge dobaara kabhi, shaayad kabhi

Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya

Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya


Writer(s): Ahad Khan, Raffey Anwar, Usama Ali
You May Also Like
Anuv Jain - "Antariksh" Karta main baatein meri aaine se dekhun teri Tujhse kaise, khul ke vaise bolun main ye raaz dil ke? Ab tere saamne huin, kitna kuch main kehna chahun Mujhko yeh bata de phir kyu khojun main alfaaz...
King - "Teri Ho Na Saki" Meri aankhein ye Tujhpe tiki Tu miljaye abhi...tu miljaye abhi Main mana teri ho na saki Par tuje kho na saki Mujhe har pal tu yaad tha Main bas tujhe bol na saki Mujhe tera pyaar yaad hai Main...
Karan Aujla & Ikky - "For A Reason" Tere toh meri na, nazar lehndi Tere toh meri na, nazar lehndi Hattha te tere na'an di, la'n - la'n mehndi Hattha te tere na'an, la'n - la'n mehndi Puchda main tera kyon kara? Puthe vaike kare mainu...
Talha Anjum & Umair - "Departure Lane" Khush fehmiyan hain Khudsay bani hein Kuch kami hai, toh (Kuch kami hai toh) Mein bhi yahan hun Voh bhi yahin hai Kya voh nahi hai jo? (Voh nahi hai jo) Kya voh teri meri be-takallufi? Yan voh duniya...
Umair - "OBVIOUS" Be here right now I know I can love you Yeah-ah-ah-ah It's obvious Main teray hi jaal main phasa Baytabiyan Is tootay way dil ki na jaga Sun zara Teri har ada pay main fida Sun zara It's obvious...