"Departure Lane" lyrics

Talha Anjum & Umair Lyrics

"Departure Lane"

Khush fehmiyan hain
Khudsay bani hein
Kuch kami hai, toh (Kuch kami hai toh)
Mein bhi yahan hun
Voh bhi yahin hai
Kya voh nahi hai jo? (Voh nahi hai jo)
Kya voh teri meri be-takallufi?
Yan voh duniya mein sabsay sar-kashi
Tu pariyon si kaisi naazneen
Ki dil ne zehen ki na suni
Khuda ne ye hawayein tere sang kardīn
Tu voh jo be-rang ko bhi rang karti
Tu voh jo mujhay haasil hi nahi
Main karun tujhay kaisay ye bayaan?

Meri jaan, meri jaan, tu naa ja
Abhi qarz hai tujh pe voh waada
Meri jaan mujhay kya hi pata tha
Rang badlay ye kaisay aasmaan
Meri jaan, meri jaan, yun naa ja
Badlo na tum apna irada
Meri jaan mujhay kya hi pata tha
Rang badle ye kaisay aasmaan

Meri saari umar mein tu hi hai kami
Baaki sab hai mayassar
Tere na aana mujhay maardega
Tanhaiyon mein dil mera rukta hai aksar
Bikhra hai dil ka ye daftar
Koi nahi ghar par
Jaunga kidhar tak?
Aadatein nhi chhootīn
Roz wahin jahan se shuru kiya, sifar se sifar tak
Duniya mile kaam se bas
Duniya mere kaam ki nahi
Mein suraj se mukhatib hoke shaam se baitha hun
Ye humara pehla jaam to nahi
Sabar ka imtehaan naa le
Tu mere sabar ka inaam to nahi
Tu mujhsay kuch chhupa bhi le
Tu mujhay kuch bata hi nahi
Ab teri marzi, mujhpay kuch tu kar ayaan hi nahi

Meri jaan, meri jaan, yun na ja
Abhi qarz hai tujh pay voh waada
Meri jaan mujhay kya hi pata tha
Rang badlay ye kaisay aasmaan
Meri jaan, meri jaan, yun naa ja
Badlo na tum apna irada
Meri jaan mujhay kya hi pata tha
Rang badle ye kaisay aasmaan


You May Also Like
King & Raftaar - "WARCRY" Wo galiyon se nikal ke raja bana Wo ghar se than ke gaya tha Karunga main kucch to bada Duniya wale tokte rahe Wo suntan ab kisi ki hai kahan You know, fuck this shit Main sach kahunga To kadvi...
Taimour Baig - "Leave Me Alone" Leave me alone, mujhe rehne do akela Na hi noor na savera It's just me. mai aur andhera Leave me alone, mujhe rehne do akela Na hi noor na savera It's just me, mai aur andhera Leave me alone let me...
aleemrk - "Hasrat" Aye khuda karam kar tu kar de kareeb apne Abhi to jeena hai mujhe poore karne ghar ke sapne Naram mizaaj tha halaato ne banaya sakht hai Koi nahi sagha mera dikhaya mujhe waqt ne Koi mera sagga nahi...
Badshah & Sharvi Yadav - "Daaku" टोपे पे बंदी तेरी, टोपे पे system छोड़ के जो गए मुझे, I don't really miss them दो-दो बार बनाए मैने career लोगो के That's why I don't really diss them Soul, काम, गाड़ी, तीनों काली-काली रात में लाखों...
Shubh - "Dior" Gall ch gold Hath Dior Gaddi two door (Aye) Gall ch gold Hath Dior Aye rakhi aa gaddi two door Ch betha aa jo Sirra aa Sirra aa oh Poori aa taur Akh ch lorr Munda pure Dilan da chor Piche ne boht...