"Yaar" lyrics

"Yaar"

Kya pyaar karay tu
Phir bhi inkaar karay tu
Kya saaz banoon main?
Uski aawaaz banay tu
Jeet banoon main?
Aur uski haar banay tu
Kya phool banoon main?
Phoolon ka haar banay tu

Main baarishon mein bhaaga yaar
Teray meray daaman pe daagh lagay thay
Ab bhi woh daagh wahin hain
Ek baar keh de mujh se yaar
Hans ke ke tu mujh se naaraaz nahi hai
Hum mein koi raaz nahi hain

Chhotay chhotay se jo teray makaan thay
Woh baarishon mein tab bheeg hi jaatay
Aas-paas naaraaz raaz
Un kashtiyon ki tarah hi bahaate
Kaash teri aankhon mein hon sapnay
Dekhtay thay jo hum bachpan mein
Mil gaya hai tujhay saara jahaan ab
Main toh aaj bhi hoon us kal mein

Sansaar mein hai jitna pyaar
Utna toh hum ab tujh se kar baithay hain
Hum roz yehi kehtay hain
Us paar hai jo mera yaar
Ab woh mujh se itna kyun door gaya hai?
Kya mujh ko bhool gaya hai?

Kuch baatain hain meray dil mein
Kuch raatain guzri mushkil mein
Kaaghazon ke jo gul thay banaaye
Khushboo aa rahi in mein
Na dekho meri taraf tum
Chaahay toh baat hi kar lo
Hum ko aazaad karo tum
Ya phir barbaad hi kar do
Kuch hota hai na
Aahista waar karo tum
Thori si nafrat kar lo chaahay
Thora pyaar karo tum

Sansaar mein hai jitna pyaar
Utna toh hum ab tujh se kar baithay hain
Hum roz yehi kehtay hain
Us paar hai jo mera yaar
Ab woh mujh se itna kyun door gaya hai?
Kya mujh ko bhool gaya hai?


EP: "Safarnama" (2026)
AUR - Safarnama EP cover
You May Also Like
King - "DELULU DANCE" झलकाओं ना आंखो से ज़ाम हम सुखे सुखे जी रहे तेरे जाने से सुबह शाम हम जगह जगह पी रहे अब क्यूं ना-आ-आ ख़्वाबों में आओ जहां गए थे सनम हमें भी ले जाओ अब ना बैठेंगे यहां पे बात निकली है जहां से दुनिया वालो...
Tony Kakkar - "Zindagi Tu Aana" Zindagi tu aana ik shaam milenge Tujhse hi teri shikayat karenge Zindagi tu aana ik shaam milenge Tujhse hi teri shikayat karenge Ye mujhko girate hain kyon aksar Jo khud ko utha bhi nahi sakte Ye...
Anuv Jain - "Antariksh" Karta main baatein meri aaine se dekhun teri Tujhse kaise, khul ke vaise bolun main ye raaz dil ke? Ab tere saamne huin, kitna kuch main kehna chahun Mujhko yeh bata de phir kyu khojun main alfaaz...
aleemrk - "Raat Din" Raat din lage jeene hai ke chaar din 7 din meri raate guzre aap bin Raat din betha ek hee khayal me Kese ghar chalate honge bete yaha baap bin Choole jalte nahi hai bache schoole parte nahi hai Sab...
Taimour Baig - "Rockstar's Confessions" Tu mujhse fasle bana rahi Teri ankhen sab bata rahi Me ghar mein qaid kaheen hafto se Ghar mein uskay ronak Aur woh mehfilain sajarhi Me aaj yahan toh kal wahan per hu I wanna walk away so bad, can...