"Main Bas Kehti Nahi" lyrics

"Main Bas Kehti Nahi"

Karti rehti intezaar tera
Tujhko na sharam aati hai
Na haya aati hai

Upar se itna hai kathor
Tujhko baatein na naram aati hai
Na daya aati hai

Dil se khelne ka hai shoq bada
Kal raat poori tu bohot ladha
Main kisse kahun
Ke tu pehle jaisa nahi

Meri galtiyon to tu dekhe bada
Khud galtiyon pe tu poora adha
Main kisse kahun
Ke tu baat sunta nahi

Kab kahaan jaata hai
Jo bataata nahi
Vo bhi pata hai
Main Bas kehti nahi

Chehra utra hua
Ab hasaata nahi
Kaisi sazaa hai ?
Main bas kehti nahi

Aakhri baar
Kab theek se ki thi baat
Isko pucho koi
Manta hi nahi

Upar se banta anjaan
Jaise mujhko to ye
Janta hi nahi

Jhooth se khelne ka hai shoq bada
Khud vaadiyon mein tu pohoch gaya
Main kisse kahun
Tu Mere sath chalta nahi

Tujhpe zor mera ab chalta kahan
Mujhe darr hai kahi tu chhod gaya
Main kisse kahungi
Tu mujhko hi samajhta nahi

Kab kuch kehta nahi
Kab sab keh jaata hai
Ye bhi pata hai
Main Bas kehti nahi

Rishta rutha hua
Ab manaata nahi
Kaisi raza hai?
Main bas kehti nahi

Tujhe kuch pata tere bina kaisa beeta mera pal hai?
1 hafte se teri na khabar bata kahan aajkal hai?

Tu mujhko bhej koi jawaab mera din bann jayega
Tu khudse baat karta nahi kya mera phone uthayega

O Tujhko khelne ka hai shoq bada
Main zakhm dekhun tu karde mana
Sab dekh rahe
Ke tera ghaav chupta nahi

Tujhpe zor mera ab chalta kahan
Mujhe darr hai kahi tu chhod gaya
Main kisse kahungi
Tu mujhko hi samajhta nahi

Ab bata mujhko ye
Apni choto se bhi koi bacha hai?
Tu bas kehta nahi

Dil hai toota hua
Ye tujhe bhi pata
Mujhko bulaale
Khud sab sehte nahi

Kab kahaan jaata hai
Jo bataata nahi
Vo bhi pata hai
Main Bas kehti nahi

Chehra utra hua
Ab hasaata nahi
Kaisi sazaa hai ?
Main bas kehti nahi


Writer(s): Arpan Kumar
You May Also Like
Bali & Badshah - "Feel Hai" Baaton mein vibe gaanon mein feel hai Punch maroon itne ki kaanon mein neel hai Bantar teen tera bhai shakeel hai Suno mere gaane todni woh seal hai Uh! feel hai bhai feel hai Band karo bali ko...
Arjun Kanungo - "Waada Hai" Tujhse Shuru Hua Jo Tujhse Shuru Wo Qisaa Tujhpe Hi Le Hua Khatam Hoga Nahin Ye Humse Hoga Nahin Kisi Ko Denge Nahin Teri Jagah Hum Tere Bina Jiyein To Kyun Ye Sawaal Baar-Baar Aataa Hai Tere...
Gajendra Verma - "Na Hona Tumse Door" Soonee Si Raahon Pe Chalana Kisi Din Haathon Mein Thaame Tera Haath Gumsum Se Taaron Ke Phoolon Ke Neeche Karni Hain Baatein Saari Raat Yai Pyari Pyari Aankhein, Ye Misree Jaisi Baatein Hain Saaree...
Yo Yo Honey Singh - "Boom Boom" Ok ok everybody Welcome back again here Lemme talk some business Business Ay Habibi ay Habibi ay habibi Salam Ale Khum Sir aakhon sir aakhon sir aakhon pe tera hukum Aa chupke aa chupke aa chupke...
Badshah, DIVINE & Mikey McCleary - "Bach Ke Rehna (Red Notice)" Ayee, ayee Ayee, ayee Ayee, ayee Haan, haan Life, camera, action Jo bhi mai bolun wo caption Jo bhi mai bolu wo happens Apun kare down jaise fraction Katwayega tu lagake dil bhai Khulenge raaz tu...