"Woh" lyrics

"Woh"

Panahon mei, raat ki khamosh aahon mei
Hawa chalnay lagay aur zulf lehraye
Uski adaa mein na jaane hai kaisa nasha
Woh aaye saamnay aur jaan le jaaye
Hai uske kaanon mei jhumkay gehnay
In aankhon ke kya kehne
Shaidaa inka mein ho gaya
Aur uski payal ki chhan-chhan, chhan-chhan
Rijhaye dil ki dharkan
Woh mere jeenay ki wajah

Kya hai yeh mera bharam?
Ya uski nazar-e-karam?

Na jaanay kyun
Saansein meri na chalein
Jaane kyun
Shaamein kabhi na dhalein
Khud se ho jaaye, bekhabar
Karde jo hum pe woh nazar
Na jaane kyun
Woh hum se chura le humein

Pal do pal ki saanson mei reh jaayun
Sochta hoon par keh na kabhi paaon
Mein dil ki woh batiyaan
Yeh guzri hui ratiyaan mein seh jayun
Haan, pal dou pal ka aashiq toh mein thehra
Mein bhool gaya woh haseen chehra
Woh beeti hui sadiyon ki behti hui nadiyon mei beh jaaon
Jab uski aankhon se behta kaajal
Karay iss dil ko pagal
Kesi mujh pe hai yeh saza?
Aur uski kaali zulfon ke saaye
Se mera dil sharmaye
Mein toh ho jaun ga fana

Ashkon ki dhaaron mei hum
Kaise samaiten yeh gham?

Na jaanay kyun
Saansein meri na chalein
Jaane kyun
Shaamein kabhi na dhalein
Pal mei hi jaayen ge bikhar
Karde woh hum pe jo nazar
Na jaane kyun
Woh hum se chura le humein

Oh-ho-oh-ho
Ho-oh-oo-oh
Ho-oo-oho-oh


You May Also Like
AUR & Taimour Baig - "Raastah" Baa-Khuda main dar he gaya Raaston mein tu kho gaya Dhoondh lenge hum manzilen Mil he jaayega humein raasta, raasta, raasta Dhoondh lenge qadam raasta, raasta Laut aane ka ab main kya doon tujhey...
AUR - "Faasle" Kabhi koi mujhe kehde kuch zara Teri bahoon mein hi chup jaongi Tu bhi mujhe apna banalega Yeh soch soch ke marjaongi Mujhe tum dehklo, apna karo ya na karo Is dard ko kam na karo, mujhko na jana...
Hamza Malik - "Soneyaa" मै हारा मै हारा, जैसे टूटा हुआ हो सितारा बस आँसू बस ये आहें, मेरे हिस्से में हे दर्द सारा सपने आँसू बनके, सब मेरे बह गये हो सारे अरमान मेरे, दिल में रह गये हो तूने मेरे जाना, कभी नही जाना इश्क़...
AUR - "Mat Jao" Hm-mm-mm Mm-mm-mm Aah-aah-aah Mat jao, mat jao Ruk jao, ruk jao Dekho rog agar tum to kaise main manaunga Mujhko to aata nahi hai manana Yeh aansu keemti hai aur duniya matlabi hai Inko duniya ke...
Salem Sandhu, Taimour Baig & Nimit - "Bin Apke" Na kisi se hai shikwa koi Na ye dil bhi kisi se mila Aapke bin be-matlab sahi Zindagi aapke bin gila Aapke sang haseen kitni thi chandni Aapke bin hai raaton mein woh baat nahi Aapke bin ho jaise na...