"Rainy Days" lyrics

Talha Anjum & Umair Lyrics

"Rainy Days"

Aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka
Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
Aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay
Dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay
Kal jo tu aaye
Meri rab se yeh dua hai phir say
Baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay
Kal jo tu aaye
Meri rab se yeh dua hai phir say
Baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay
Aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka
Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka

Dil hai bhaari, tabiyat tang rahay
Zindagi, hum tujh pay dang rahay
Uspay likhne ka toh maahir hun
Mujhay ghalat fehmi bhi hai ke mein shayar hun
Mujhay andheron se kaisi aashnayi thi
Tune zindagi mein ek shama jalayi thi
Woh shama jali toh usmein bhi ek tapish thi
Phir mujhay apni sard raatein yaad aayīn thien
Tera aana aisay hai ki jaisay shifa aaye
Jaisay rahat aaye, jaisay aahat aaye
Kuch yaad karke chehre pe muskurahat aaye
Jaisay khamoshi mein tera intezaar mein karun
Izhaar na kar sakun itna pyaar mein karun
Hisaar karle mera
Tujhme hi ghar hai mera
Yahin guzar-basar hai mera
Rooh yahin bhatakti hain
Jism bhi dafan hai mera

Teri qeemat ab ghatayi jaa rahi hai
Mujhay furqat sikhayi jaa rahi hai
Yeh hai tameer-e-duniya ka zamana
Haweli dil ki dhayi jaa rahi hai
Mujhay ummeed thi ke tum toh aaoge
Mujhay ummeed khaye jaa rahi hai
Mujhay kyun nahi aa rahi hai neend?
Mujhay fikar jagaye jaa rahi hai

Aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka
Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
Aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay
Dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay
Kal jo tu aaye
Meri rab se yeh dua hai phir say
Baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay
Kal jo tu aaye
Meri rab se yeh dua hai phir say
Baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay
Aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka
Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka


You May Also Like
DIVINE - "Satya" You know who the fuck it is ha! DIVINE ha! Gully Gang ha! Tum log chill karenge Apan drill karenge ha! Haa! Acche se baat kar Chhote acche se baat kar Chal! Chule mein chingari Sar pe hai chhath...
Sidhu Moose Wala - "These Days" Oh Piche Piche Turdi Aa Fame Ajj Kal Aunda Ae Star-an Wich Name Ajj Kal Tere Karke Gaane Sade Ni Challde Landu Launde Mere Te Blame Ajj Kal Oh Piche Piche Turdi Aa Fame Ajj Kal Aunda Ae Star-an Wich...
King - "Sarkaare" Dil ko dukha ke thoda hum bhi dekhenge Yaadon mein basa ke thoda hum bhi dekhenge Shayad hum juda hue toh phir na milein Ho Na ja sarkaare Dekh toh yahan re Pyaar ke hain maare Jaise tute taare Hai...
Emiway Bantai - "Company" Haan kya bolti company Haan hosh mein hai ki nahi Sab log idhaar pe kya shot Emiway bantai Aur bantai wale yaad hain na Aa phirse aage le Haan kya bolti hai company Kamayle bohat money Inko lag raha...
Badshah & Sharvi Yadav - "Daaku" टोपे पे बंदी तेरी, टोपे पे system छोड़ के जो गए मुझे, I don't really miss them दो-दो बार बनाए मैने career लोगो के That's why I don't really diss them Soul, काम, गाड़ी, तीनों काली-काली रात में लाखों...