"Barbaad" lyrics

Jubin Nautiyal Lyrics

"Barbaad"
(from "Saiyaara" soundtrack)

Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Kamzor ho jaata hoon main
Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Aawara ban jaata hoon main

Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Kamzor ho jaata hoon main
Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Aawara ban jaata hoon main

Tujhe chu lu toh kuch mujhe ho jaayega
Jo main chahta na ho mujhko
Tujhe mil ke yeh dil mera beh jaayega
Issi baat ka darr hai mujhko

Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Behad-beshumaar tumse mujhe

Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa
Ho-o-o-o, ho-o-o-o (Tumse mujhe)
Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa
Ho-o-o-o, ho-o-o-o

Teri nazdikiyon mein kaisa khumaar hai
Teri qurbat se mera dil kyun beqaraar hai?
Kyun yeh mitt ti nahi hai, kaisi yeh pyaas hai?
Jitna main dur jaaun, utni hi tu paas hai

Tujhe keh du ya rehne du raaz mere
Sab kuch keh du kya tujhko?
Tu mujhko chhod jaayegi ya aayegi paas mere
Issi baat ka darr hai mujhko

Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Behad-beshumaar tumse mujhe

Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa (Ishq mujhe)
Ho-o-o-o, ho-o-o-o (Ishq mujhe)

Inn ghamo ko khatam kar rahe ho tum (Haan, haan)
Inn ghamo ko khatam kar rahe ho tum
Zakhmon ka marham ban rahe ho tum
Mehsoos mujhe aisa kyun ho raha
Ke meri duniya ban rahe ho tum, ban rahe ho tum

Tere bin kya yeh dil ab dhadak paayega
Puchhta hoon main yeh khud ko
Tere aane se dard chala jaayega
Issi baat ka dare hai mujhko

Ke ho na jaaye pyaar
Ke ho na jaaye pyaar
Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe (Ho)
Behad-beshumaar (Beshumaar) tumse mujhe

Ishq mujhe
Ishq mujhe
Barbaad mujhe (Barbaad)
Ishq mujhe


You May Also Like
Tony Kakkar - "Zindagi Bata De" Zindagi Bata de kyon tu khafa hai Sansein hi toh le raha hoon Ye bhi kya gunaah hai Zindagi Bata de kyon tu khafa hai Sansein hi toh le raha hoon Ye bhi kya gunaah hai Mere apne bhi apne nahi hain...
Arijit Singh - "Yeh Fitoor Mera" Zindagi ne ki hai kaisi saazishein Poori hui dil ki wo farmaishein Maangi duaa ek tujh tak jaa pahunchi Parvardigara, parvardigara Kaisi suni tune meri khamoshi O parvardigara Ye fitoor mera laaya...
AP Dhillon - "Wo Noor" Gahiri jihi avaaz koi Mere dil 'chon maardi huuks ni Mitthey jihe kat tere Parh sambha ya fir phuks ni? Sone jeha, haaye, roop tera Teri takkni sanu maar gayi Wo noor jo dekha chehre ka Hui raushan...
Badshah & Aastha Gill - "Paani Paani" Usne mujhe chhua bhi nahi Aisa waisa kuch hua bhi nahi Nazar thi paini, hui bechaini Aankhon aankhon mein shaitani ho gayi Saiyaan ne dekha aise Main paani paani ho gayi Main paani paani ho gayi...
Arjun Kanungo & King - "Ilzaam" Bata de mujhe wajah de mujhe Mera hi main na raha sab dhoondh rahe Maine kiya aisa kya hum phir na mile Main khud se hi kyun laapata Hata de usse mita de usse Duniya bani pyaar ki ilzaam tale Tune...