"Paint" lyrics
"Paint"
Tere rung baray hi pasand hain mujh ko
Jeene ka koi dhung de mujh ko
Mere tou rung sab pheekay paray hain
Apne hi rung mei rung de mujh ko
Jaanay ka koi tareeqa bata mujhe
Baadalon mei urna sikha mujhe
Is zameen se jo dikhte nahi hain
Asmaan ke woh rung dikha mujhe
Mujhe sitaaron ki goud mei sona hai
Mein ab bhi khush hoon mujhe aur khush hona hai
Mein rehna chahta hoon pariyon ke sung
Mera mann hai patung
Yeh uraa tere sung
Khushiyon se mila dou, jeena sikha dou
Jugnu'on ki tarha andheray mita dou
Jis tarha bharay hain rung titliyon mei
Us tarha rungon se mujhe bhi saja dou
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Tu hai haqeeqat, khwaab hoon mein
Mera naam hai, tu be-naam hoon mein
Teri chamak hain saaray sitaaray
Kahin pe chhupta chaand hoon mein
Tum ho, tou lagta hai sab hai
Khushiyan, yeh ab meri kab hain?
Is shor si behti dunya mei
Mein tanha hoon yeh hi sach hai
Be-rung hoon mein, mera rung hai tu
Khushiyan hain sung, jab sung hai tu
Mujh ko tou urna aata nahi hai
Mere liye tou pankh hai tu
Khushiyon se mila dou, jeena sikha dou
Jugnu'on ki tarha andheray mita dou
Jis tarha bharay hain rung titliyon mei
Us tarha rungon se mujhe bhi saja dou
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
Oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh-oh, oh-oh
- AZLyrics
- A
- AUR Lyrics
EP:
"You Paint Me Again "PURPLE"" (2025)
You May Also Like
King - "DELULU DANCE" झलकाओं ना आंखो से ज़ाम
हम सुखे सुखे जी रहे
तेरे जाने से सुबह शाम
हम जगह जगह पी रहे
अब क्यूं ना-आ-आ
ख़्वाबों में आओ
जहां गए थे सनम
हमें भी ले जाओ
अब ना बैठेंगे यहां पे
बात निकली है जहां से
दुनिया वालो...
AFUSIC & AliSoomroMusic - "Pal Pal" Pal-pal jeena muhaal mera tere bina
Yeh saaray nashay bekaar teri aankhon ke siwa
Ghar nahi jaata, mein bahar, rehta tera intezaar
Mere khuwabon may aa naa kar ke solah singhaar
Mein ab kyun hosh...
Anuv Jain - "Baarishein" Haule se, dheeme se
Mujhko baahon mein bhar lo na tum
Narm si sanson mai
Mujhko aahon mai bhar lo na tum
Sun zara, mere paas aa
Ab baithe hain hum bhi yahan
Dil ke darmiyaan
Baarishein hain,...
aleemrk - "Hasrat" Aye khuda karam kar tu kar de kareeb apne
Abhi to jeena hai mujhe poore karne ghar ke sapne
Naram mizaaj tha halaato ne banaya sakht hai
Koi nahi sagha mera dikhaya mujhe waqt ne
Koi mera sagga nahi...
Jokhay & Talha Anjum - "Now & Then" Kabhi-kabhi lagay tu bas aanay ko hai
Aur phir Jaanam kabhi-kabhi tera koi nishaan he nahin
Abhi-abhi dil ruk ke phir chal de ik lamhay may
Jaisay abhi-abhi teri mehsoos hui kami
Ek sehar, ek subha,...