"Purple" lyrics
"Purple"
Aayein agar mushkilein morr par
Waadah karo jao ge na chhor kar
Chahay mera dil tujhay be-panah
Jaatay ho kyun tum isse torr kar?
Barhti raheingi meri khwahishein
Lag ja galay aarzi taur par
Jaanay wala murr ke dekh le
Na tujhe hai, na mujhe hai waqt ka pata
Aisay tou ho jaonga tabah tere bina
Dekhte he dekhte sanam
Paas aate aate duur ho rahe hain hum
Phir milein ge hum kahin magar
Jaane kahan
Tum agar mere raho
Mein tera hoon sab se kaho
Mein tera ho gaya meri jaan
Tum agar mere raho
Saaye mere tou rahein ge sada
Mein le ke aa jo gaya wafa
Tum mujh ko raahein dikhati ho yoon
Gumm raahon mei jugnu ki tarha
Nazamein meri ho jayein gi amar
Dhun gunguna de jo tu yeh ek dafa
Jaanay wala murr ke dekh le
Na tujhe hai, na mujhe hai waqt ka pata
Aisay tou ho jaonga tabah tere bina
Dekhte he dekhte sanam
Paas aate aate duur ho rahe hain hum
Phir milein ge hum kahin magar
Jaane kahan
Tum agar mere raho
Mein tera hoon sab se kaho
Mein tera ho gaya meri jaan
Tum agar mere raho
- AZLyrics
- A
- AUR Lyrics
EP:
"You Paint Me Again "PURPLE"" (2025)
You May Also Like
Tony Kakkar - "Zindagi Bata De" Zindagi Bata de kyon tu khafa hai
Sansein hi toh le raha hoon
Ye bhi kya gunaah hai
Zindagi Bata de kyon tu khafa hai
Sansein hi toh le raha hoon
Ye bhi kya gunaah hai
Mere apne bhi apne nahi hain...
King - "DELULU DANCE" झलकाओं ना आंखो से ज़ाम
हम सुखे सुखे जी रहे
तेरे जाने से सुबह शाम
हम जगह जगह पी रहे
अब क्यूं ना-आ-आ
ख़्वाबों में आओ
जहां गए थे सनम
हमें भी ले जाओ
अब ना बैठेंगे यहां पे
बात निकली है जहां से
दुनिया वालो...
Satwik Kumar & Taimour Baig - "Naraaz" Naraaz
Hum toh kabhi teri yaadon mein the par aah toh bas fariyaad mein hai
Qubool hai ilzaam khaamosh mizaaj
Yeh toote halaat jo hum baat te hai
Doobti doubt aankhein mere sookhein na
Saazishein...
Taimour Baig - "Leave Me Alone" Leave me alone, mujhe rehne do akela
Na hi noor na savera
It's just me. mai aur andhera
Leave me alone, mujhe rehne do akela
Na hi noor na savera
It's just me, mai aur andhera
Leave me alone let me...